Welcome to the Forum..

You are currently viewing our boards as a Guest which gives you limited access to view most discussions and access our other features. By joining our free community you will have access to post topics, communicate privately with other members (PM), respond to polls, upload content and access many other special features. Registration is fast, simple and absolutely free so please, join our community today!

If you have any problems with the registration process or your account login, please contact us.

Join the forum, it's quick and easy

Welcome to the Forum..

You are currently viewing our boards as a Guest which gives you limited access to view most discussions and access our other features. By joining our free community you will have access to post topics, communicate privately with other members (PM), respond to polls, upload content and access many other special features. Registration is fast, simple and absolutely free so please, join our community today!

If you have any problems with the registration process or your account login, please contact us.
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

You are not connected. Please login or register

kia ajab hai mohbatt

2 posters

Go down  Message [Page 1 of 1]

1kia ajab hai mohbatt Empty kia ajab hai mohbatt 22/02/10, 05:53 pm

mobijeena


*Moderator*
*Moderator*

Mohabbat Rog Hay Jaana
Ajab Sanjog Hay Jaana
Yeh Kaisa Jog Hay Jaana

Baray Borhay Btatay Thy
Kayi Qissay Sunatay Thy
Magar Hum Mantay Kab Thy
Yeh Sab Kuch Jantay Kab Thy
Yeh Baatein Zikr k Qabil
Bhala Gardantay Kab Thy

*-*-*-*-*-
Ana k Takht Par Baithy
Humein Maloom Hi Kab Tha
Ana k Takht Se Ooper
Bohat Sari Bulandi Par
Kahin Pariyon k Jhurmat Mein
Tery Pairoon Ki Payel Mein
Tery Chotay Se Gaaon Mein
Ghani Zulfoon Ki Chaaon Mein
Sitaray Chaand Sooraj
Walehana Raqs Kartay Hain

*-*-*-*-*-
Humein Maloom Hi Kab Tha
Tery Qadmon Ki Aahat Par
Gulabi Muskurahat Par
Tery Hontoon Ki Jumbish Par
Tery Sir k Isharay Par
Sada-e-DilBrana Par
Nigah-e-Qatilana Par
Jafa-e-Mehrmana Par
Ada-e-Kafirana Par
Chaman k Phool Saray
Iss Tarah Se Dhayan Detay Hain
Zara Se Wasl k Jhansey Mein
Apni Jaan Detay Hain

*-*-*-*-*-
Humein Kab ILM Tha Jaana
Tery Pekar Se Dhul kar
Chandani Har Soo Bikharti Hay
Shab-e-Mahtab Ki Doshezgi
Kaisy Nikharti Hay
Teri Payel Ki Chan Chan
Mann Mein Kya Ghanti Bajati Hay
Teri Awaz Veerany Mein
Kya Jadu Jagati Hay
Tery Naghmay Fiza Mein
KisTarah Jal Tarang Bajaty Hain
Bohat Pukhta Iraday
Kis Tarah Se Toot Jatay Hain

*-*-*-*-*-
Humein Idraak Hi Kab Tha
Humein Kamil Bharosa Tha
Hamary Sath Kisi Surat
Bhi Aisa Nahi Ho Ga
Dil-e-Nadaan Kabhi
Qaboo Se BeQaboo Nahi Ho Ga
Yeh DuniyaDaar
DuniyaDaar Se Saadhuu Nahi Ho Ga


Magar....

*-*-*-*-*-
Magar Phir Yun Huwa Jaana
Na Janay Kiun Huwa Jaana
Bara Afsoon Huwa Jaana
Jigar Ka Khoon Huwa Jaana

*-*-*-*-*-
Tery Abroo Ki Ik Jumbish
Se Ghayel Ho Gaye Hum b
Baray Be Multafit Phirtay Thy
Maayel Ho Gaye Hum b
Sakhawat Karnay Aye Thy
Aur Saayel Ho Gaye Hum b
Baray Borhoon Ki In Baaton k
Qaayel Ho Gaye Hum b


K .....

*-*-*-*-*-

Mohabbat Rog Hay Jaana
Ajab Sanjog Hay Jaana
Yeh Kaisa Jog Hay Jaana...!!!

*.*.*.*.*.*.*.*.*.*.*.*.*

2kia ajab hai mohbatt Empty Re: kia ajab hai mohbatt 22/02/10, 05:54 pm

mobijeena


*Moderator*
*Moderator*

Mohabbat maan hoti hy
mohabbat karne walon k dilon ki jaan hoti hy
mohabbat maan hoti hy

hazaron mushkilen aayen
na jaany kia sitam dhayen
har ik takleef,ranj-o-gham se
ye anjaan hoti he
mohabbat maan hoti he

dehar ki andheri siyah tareeq raton mein
khuli khamosh ankhon ki ik umeed
larazti dharkano mein pinhah
yehi Imaan hoty he
mohabbat maan hoty he
mohabbat karny walon k dilon ki jaan hoti he
mohabbat maan hoti hu

3kia ajab hai mohbatt Empty Re: kia ajab hai mohbatt 22/02/10, 05:56 pm

mobijeena


*Moderator*
*Moderator*

Muhabbat kerte rehne se muhabbat kam nahi hoti
k is jalte diye ki lau kabhi mudham nahi hoti
khuda ka ye khazana khatm hone main nahi aata
koi bhi ho kahin bhi ho,ager is simt aa nikle
to is main wo kahin se bhi koi kami nahi paata
muhabbat,mehr o ulfat,dilnawazi aur dildaari
ye mausam hain!
yehi mausam mere jazb e daroon k anderoon mausam ka hissa hain
mere dil ki kahani hain meri aankhon ka qissa hain
mujhe to jab koi nafrat kahin pe ghair leti hai
koi be rehm saa'at meri jaanib berhne lagti hai
to main ehl e muhabbat se sahara maang leta hoon
MUhabbat se muhabbat ko dobara maang leta hoon

4kia ajab hai mohbatt Empty Re: kia ajab hai mohbatt 22/02/10, 05:56 pm

mobijeena


*Moderator*
*Moderator*

Muhabbat kerte rehne se muhabbat kam nahi hoti
k is jalte diye ki lau kabhi mudham nahi hoti
khuda ka ye khazana khatm hone main nahi aata
koi bhi ho kahin bhi ho,ager is simt aa nikle
to is main wo kahin se bhi koi kami nahi paata
muhabbat,mehr o ulfat,dilnawazi aur dildaari
ye mausam hain!
yehi mausam mere jazb e daroon k anderoon mausam ka hissa hain
mere dil ki kahani hain meri aankhon ka qissa hain
mujhe to jab koi nafrat kahin pe ghair leti hai
koi be rehm saa'at meri jaanib berhne lagti hai
to main ehl e muhabbat se sahara maang leta hoon
MUhabbat se muhabbat ko dobara maang leta hoon

5kia ajab hai mohbatt Empty Re: kia ajab hai mohbatt 22/02/10, 06:01 pm

mobijeena


*Moderator*
*Moderator*

Ek aarzoo hai pori parwardigar kare
main dair se jaon aur wo mera intizar kare
apne hathon se sanwaron zulfen uski
wo sharma kar muhabbat ka iqrar kare
lipat jaye muj se aalim e madhoshi main aur
josh o jaunoon main muabbat ka izhar kare
ho shab e wisal ya RAB kay
bheegi zulfoon se mujhe bedaar kare
jab usay chor kar jana chahon WASI
wo hath pakar kar rokay aur israar kare
kasam khuda ki main kisi aur ki ho nai sakti
ye wada e wafa wo baar baar kare

6kia ajab hai mohbatt Empty Re: kia ajab hai mohbatt 22/02/10, 06:02 pm

mobijeena


*Moderator*
*Moderator*

Azeem hain yeh qurbat ki doorian bhi
Sath reh kar bhi us ko na pana acha lagta hai
Qismat main nahin phir bhi us ko chahtay hain
Phool samjh kar kantoon per chalna acha lagta hai

Ab to mehfil main bhi hamaray liye tanhai hai
Gham chupa kar mehfil ko sajana acha lagta hai
Mehfil main dosron se hans hans kar miltay hain
Tanhai main gham k ansoo bahana acha lagta hai

Samjhany per bhi samjhta nahin hai yeh Dil
Us ki yaad main ratoon ko jaagna acha lagta hai
Us ki berukhi ne itnay diye hain zakham kay
Zakham kha kar bhi muskurana acha lagta hai

Jab woh hans hans kar baat karay dosroon se
Tab apnay ansoon ko chupana acha lagta hai
Usay kho kar to Meray pass raha kuch bhi nahin
Phir bhi khud ko ameer batana acha lagta hai

Khud ko anmol samjhnay ka tha bara ghumand
Phir bhi baymool bik jana acha lagta hai
Khaey hain dhokay mouhabbat main itnay kay
Phir bhi is ko chahna acha lagta hai

Maloom hai is dewanay ki Manzil nahin hai koi
Phir bhi safer kartay rehna acha lagta hai
Woh to aa kar bhi kab kay ja chukay hain
Phir bhi is ka intazar kartay rehna acha lagta hai.. kia ajab hai mohbatt Icon_rolleyes

7kia ajab hai mohbatt Empty Re: kia ajab hai mohbatt 22/02/10, 06:03 pm

mobijeena


*Moderator*
*Moderator*

Mohabaton Mein Her ik Lamha Wisal Hoga Yeh Teha
Bicher Ker Bhi Aik Dosray Ka Khial Hoga Yeh Tey Hua Tha
Wohi Hua Na Badelty Mosem Mein Tum Ne Humko Bhula Dia
Koi Bhi Rut Ho Na Chahaton Ko Zawal Hoga Teh Tey Hua Tha
Yeh Kia K Saansien Ukher Gayn Huyn Safer K Aagaz Hi Mein Yaro
Koi Bhi Thak Ker Na Rasty Mein Nidhal Hoga Yeh Tey Hua Tha
Chalo MoHSIN Jala Do Khastiyan Gum Naam Sahilon Par
K Ab Yahan Se Na Wapsi Ka Sawal Hoga Yeh Tey Hua Tha

8kia ajab hai mohbatt Empty Re: kia ajab hai mohbatt 22/02/10, 06:04 pm

mobijeena


*Moderator*
*Moderator*

Usne kaha Mujh se kitna Pyaar hai.. Maine kaha Sitaron ka koi Shumaar hai… Usne kaha kaun Tumhe hai bahut Azeez.. Maine kaha Dil pe Jise Ikhtiyar hai… Usne kaha kaun sa Tohfa hai pasand.. Maine kaha Woh Sama jo ab tak Udhaar hai… Usne kaha saath kahan tak Nibhaoge.. Maine kaha jitni ye Saanson ki Taar hai… Usne kaha Mujh ko Yakeen aaye kis tarah.. Maine kaha Mera Naam hi Aitbaar hai…

9kia ajab hai mohbatt Empty Re: kia ajab hai mohbatt 22/02/10, 06:05 pm

mobijeena


*Moderator*
*Moderator*

Kare woh pyaar shubha shaam zaruri to nahi
Har chahaat ka ho sahi Anjaam Zaruri to nahi
.
Pyaar to pyaar hai chahe chhup-chhup he kare,
Log Charche kare Saare-aam zaruri to nahi,

10kia ajab hai mohbatt Empty Re: kia ajab hai mohbatt 22/02/10, 06:06 pm

mobijeena


*Moderator*
*Moderator*

Tumhari aankhain kehti hain hisar-e-zaat say niklo

Tamanna meri ban jao, shab-e-barbaad say niklo


Kinara thaam lo dil ka bhula do her gila shikwa

Kabhi sachi hansi hans do punari yaad say niklo

11kia ajab hai mohbatt Empty Re: kia ajab hai mohbatt 22/02/10, 10:42 pm

ERUM ALI

ERUM ALI
*Administrator*
*Administrator*

Bahoot hii ummda hain sab

Sponsored content



Back to top  Message [Page 1 of 1]

Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum