Kahani Aik Bezubaan ki....
Main aj kal rozana kabhi dain taraf aur kabhi bain taraf
aik churiye ko choon chooon karte hue dekhta hun, jo pareshan aur muztrab sa lagta hai.
Ajeeb bechaini k aalim main, wo nolta rahta hai, meri samjh main tu kuch nahi aata.
Kabhi kabhi main khirki k pass jakar use mukhatib karta hun k
"batlao janu, tummhein kiya takleef hai, kon sa masla hai,
jo hal nahi kar par rahe ho.
Akhir ye tumhara qurab kis k liye hai-
kiya tumhari jeevan sathi tum se bichar gae hai.....?
kiya wo bewafa nikali.....
us ne tumhara ghonsla sunsan kar diya aur tumhein udas kar gae, tum tanha rah gae.
Ab us k yaad main apni jaan kho rahe ho.
main
ne tumhe kabhi kuch khate peete nahi dekha aur tumhare sare dost ahbab
sara wakat idhar udhar chugte hue dikhai dete hain...Aah tum kitne
akele ho, kitne tanha ho, bus tumhara aik ho ghum hai, kab tak a c beth
kar matam karte rahoge... Agar wakai tumhare ghonsle k ronaq kisi ne
cheen li tu us ka kuch tadark karo, us ka koi hal nikalo...
Yun hi pahron bethe choon choon kiya karte ho
ye noha hota hai ya faryad nahi maloom
Yakeen karo tumhari is awaz par mere kaleje par aik chot si lagti hai...
par mushkil ye hai k main tum se hamdardi k do bol bhi tu nahi kah sakta...
is liye k na tum meri zubaan samjhte ho aur na hi main tumhari choon choon ka koi matlab nikal sakta hun....
Main pichle teen hafton se tumhe isi hall main dekh raha hun
Na tumhe khane ka hosh hai na hi peene ka-
Shaam
k udas kirne junhi sarmai badalon k out main chupne lagti hain tum
oonchi uran laga kar aik na maloom simat k taraf chale jate ho-jahan
meri nigah nahi puhanch pati...
Main sham main galery main akar
khara hojata hun, sarakon par bari ronaq hoti hai, gariyan aur
rikshe,aor ja rahe hote hain- bache cricket khelte, shor machate dikhai
dete hain..
Ghane ghane pair jab dandhi hawaon k jhonko se jhoom
jhoom jate hain tu main tum ko talash karta hun k kahin tum is tahni p
raat tu basar nahi kar rahe...
Tumhara basera kahan hota hai-ah tum akele ho, bulkul tanha...
Mujhy is baat ka dukh hai k main tumhare ghum ka MaDawa nahi kar sakta, na hi khushi ka koi sandesa de sakta hun
Aur
mujhy Hazrat Salaiman Alaih ulslam ka dor yaad ajata hai k Aj Huzoor
Tashreef farma hote tu tumhara masla hal hojata aur tum ko us Dardnak
zindagi se nijat mil gae hoti....
Kash!!!!