Welcome to the Forum..

You are currently viewing our boards as a Guest which gives you limited access to view most discussions and access our other features. By joining our free community you will have access to post topics, communicate privately with other members (PM), respond to polls, upload content and access many other special features. Registration is fast, simple and absolutely free so please, join our community today!

If you have any problems with the registration process or your account login, please contact us.

Join the forum, it's quick and easy

Welcome to the Forum..

You are currently viewing our boards as a Guest which gives you limited access to view most discussions and access our other features. By joining our free community you will have access to post topics, communicate privately with other members (PM), respond to polls, upload content and access many other special features. Registration is fast, simple and absolutely free so please, join our community today!

If you have any problems with the registration process or your account login, please contact us.
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

You are not connected. Please login or register

Bint E Aadam's Kitchen

5 posters

Go to page : 1, 2, 3  Next

Go down  Message [Page 1 of 3]

1Bint E Aadam's Kitchen Empty Bint E Aadam's Kitchen 18/10/09, 01:32 pm

Bint E Aadam

Bint E Aadam
New member
New member

Salam-o-Alaykum

LAst Ramdan Mainl ham ne aik tajarba kiya Recipie TV mein dkehi socha zara tajarba he kya jaye Aur Alhamdulilah hamaray tajarabay main bhi barkat hai chalein aayein aap ko btati hoon aj phir bnaye :)
MazayDar Sanwichies ki Recipie

Chicken Pastry

Dawn Or Sona Bread Koi Bhi lein epr meethi na ho ..........................8 Slicez

Chicekn .........................................Boilied chotay chotay tukray ker lein Half bowl

Mayyonise.........................................6 se 8 chamch

Shimla mirch ........................bareek aor choti choti kati hui 1 khanay ka chamch

Chat masala.....................................half chaye ka chamch

garam masala .....................................chothayi chaye ka chamch

Anday................................2 Adad phentay hue

Bint E Aadam's Kitchen 2lsu1bt

Bread Crumbs......................................hasb se zarurat

Bint E Aadam's Kitchen Nyurnq

^^^ Bread Crumbz

Talnay k liye oil

Tarkeeb Bread ko pehle gol kat lein kisi bhi gol cutter ya kisi bhi box k dhakan se

Bint E Aadam's Kitchen 1zezj1c

{pic cell phone se li ham ne aap laugon ki sahulat k liye sath sath pic lete gaye }

ab aik bowl main chicekn tumam masla jat shimlamirch mayyonise sab dal ekr mix ker lein

Bint E Aadam's Kitchen 30c96o6

ab gol slice jo ham ne kate us epr mayyonise jis ka mixer bnaya bread epr lagaytein

Bint E Aadam's Kitchen 30ubgxt


sab pcz bannay k baad aise hon gay

Bint E Aadam's Kitchen Lfvpj

ab isay pehle phentay heu andon mein deep karein then bread crumbs main aur phir fry ker lein shello fry kerna hai deep fry nahi taway per {nonstick} k taway epr ker skatin hain

Bint E Aadam's Kitchen 2iw6kjn

fry hone k baad tissu par rakhein

Bint E Aadam's Kitchen E85x0o

Roll bnanay hon to kat lein pehle kinaray phir hath ki madad s ezor s epress kerein amaiza rakhein aur anday ka coat ker k fry mazaydar sandwichies tyar hain bnayein khilayein aur tareefein payein

jais eham ne wasool ki alhamdulilah

2Bint E Aadam's Kitchen Empty Re: Bint E Aadam's Kitchen 18/10/09, 01:32 pm

Bint E Aadam

Bint E Aadam
New member
New member


Chicken Fried Rice

Bint E Aadam's Kitchen 1zcixhj


Chawal......................................Aadha Kilo

{Boil ker lein ( boil ais ekerna hai k 6 se 7 glass pani ho ga aur 2 chaye k chamch namak is main chawal boil ker lein }aik kani Rakh ker aik kani se murad chwal ko mukamal nahi pakana aur dam nahi lagwana sirf boil kerna hai aur itna k thora sa bus kacha pan ho }{jab aik kani reh jaye to chawal se pani nikal lein ya aisi chani main dalein k jis se pani nikal jaye aur chawal chani main reh jaye sahi :)]

Chicken .......................................Aik Paow

{Pakanay k Bartan main nonstick ho to behter hai us main 2 chutki namak dal ekr chicken thora sa fry ker k hadi samait he pani main dal ker Boil ker lein jab chicken sahi s egal jaye to pani se nikal ker is k Reshay mean tukray ker lein }

Pyaz........................Aik Choti {bareek kat lein

Lehsan paste......................1 chaye ka chamch

Gajar............................................1 cup
(choti magar chakor main kati hon inhe b ubltay hue pani main 5 min k liye dalein aur nikal lein }

Matar.............................Aik Cup {Ublay Hue}

Band Gobhi.................................Aik Cup bareek kati hui}

Shimla Mirch...............................chothayi cup choti or chakor kati ho}

Chiness Salt....................aik chaye ka chamch

Salt..................... Hasb e Zaiqa

Soya Sauce.....................1 n half khane ka chamch

Chili sauce........................2 khane k chamch

Garm masala ya Kali mirch powder..............half chaye ka chamch

Lemon juice..........................aik chaye ka chamch

agar lemon juice nahi to sirka sada le lein aik chaye ka chamch :)

Anda..................................1 adad

{omlate bana lein sada namak 2 chutki ,chiness salt 1 chutki aur omlate bana lein}

Oil...............................Half Cup

Tarkeeb:

Nonstick Pein mein ya kisi bhi pakanay k bartan main oil dalein is mein pyaz aur lehsan dalein golden hone lage dono chizein to is main chicken jo boiled hai us k reshay eman choptay chotay tukre dal dein aur bhunein 2 min zyada nahi ab chiness namak aik chaye ka chamch sada namak hasb e zarurat dal dein aur mix kerne k baad is main tumam sabziyan ublay hue matar gajrein band gobhi yeh sab dal ker 5 min bhunein ab is main chili sauce,soya sauce,lemoo ka rus ya sirka dal dein aur bhunein 5 min ab dhakan laga dien k gajar,Shimla mirch aur band gobhi bhi gal jayein to namak check ekr lein agar kam lage to thori aur miqdar chukiyon ki surat aur namak bhi chutkiyon ki surat add kerien kam ho to barha lein zyada ho to chawal k sath mil ker sab set ho jaye ga ab is main garam masala daliye aur 1 min bhunein ab is main omlate jo bnaya tha dalein mix kerne k baad is main aik kani jo chawal ubale thay woh dal dein achay se mix kerne aur dheemi aanch per dum per laga dein

3 min baad check kerien gal jayein to theek warna 2 min aur rakh lein chawal pak jaye to dishout ker k sab k smanay paish kerien aur tareefein wasul kijiye

{Aik Tip

Ap jab yeh chawal paka rahe hon to sar ko lapait lein k bal chupe hon khawateen duppatay se apna sar dhanp lein aur shuru waat
Bismmilah se karein aur her chiz jo bi dalein chahye choti se choti chiz kune na ho ap ne Bismillah aprhni hai parhna bhool b jayein to baad main jab yaad aaye pakate hue to parhein

Bismilalh Irhman niraheem Awalau wa akhiratu

yeh perh lein aur jab Dam per lagayein to dil mein kahein K Aye Allah main ne tera nam le ekr pakana shuru kiya tha is main barkat tu ne dalni hai Zaiqa tu ne dena hai Aur sab theek bane}

Insha Allah Dekhiye ga sab itna mazay ka lage ga aur sab ko itna apsand aaye ga jaise restuarnt ka bana hai q k yeh main ne 1st time bnaye Is seqabal chicken pastery b 1st time banayi Lab e sheerin b 1st time epr isi tip ko apnaye Rakha to alhamdulilah 1st time bnayi per Tareef bhai k inlaws,realtiv meri friend bhaiya k friend ki traf sab ne tareef ki aur mash Allah itni barkat parhti hai k aap kisi k yahan bhijwa do khud bhi kha lo to bhi chawal rehte hain alhamdulilah :) is tip ko apnaiye aur khud b koi tajarbna karein aur dad wasul kijiye family se :)


abhi ijazat dein TC

apna bohat sa khiyal rkahiye ga aur hamein duwaon main yaad rakhiye ga

Fi aman Allah

3Bint E Aadam's Kitchen Empty Re: Bint E Aadam's Kitchen 18/10/09, 01:34 pm

Bint E Aadam

Bint E Aadam
New member
New member

Matar Qeema

Qeema ...................................Aadha Kilo

{Hath ka kuta hua mashin ka nahi}

Matar............................................aik Cup

Pyaaz.........................................2 Adad Darmiyane Size ki

{Bareek aur lambi lambi kat lein }

Lehsan l Joye ..............................................8 se 10 adad

{agar aap paste istemal ker rahay hain to aik khane ka chamch}

Adrak powder or paste...........................................1 chaye ka chamch

Hari Mirch.......................................3 Adad

{drmiyan se kat lein} sahulat k liye image stah hai k kaise katni hain}


Bint E Aadam's Kitchen 3498b9l

Namak..................................................half chaye ka chamch

Surkh mirch powder..........................................half chaye ka chamch

Haldi..........................................3 chutki k barabar

Garam masala powder.............................half chaye ka chamch

Hara dhaniya.....................................aik khane ka chamch

{bareek kata hua}

Tamatar

{4 khane k chamch oil/ghee main fry ker lein naram par jayein to yeh aik bowl main nikal lein}

Oil............Aik Piyali {pakanay k liye

_____________________________________________

Tarkeeb:

kuker main ya pakanay k bartan main aap oil dlaiye is main pyaz lehsan dal dijiye agar lehsan aap k pass sabit halat main hai to piyaz k sath dal dijiye aur agar lehsan paste ki surat hai ya powder ki to abhi mat daliye woh jab pyaz zara pink sa ho jaye to daliye

khair pyaz lehsan fry kijiye jab golden brown hone lage jaisa k pic main hai

to ab is main namak ,mirch haldi dal dijiye aur bhunein

ab is main tamatar ka jo mixer bnaya tha woh dal dein 2 min bhunne k baad qeema dal dijiye aur 5 min bhunein

agar kuker hai to 5 min baad 3 glass pani dal ker steam laga dein aur agar pateeli main paka rahe hain to phir 4 glass pani dal ker dhakan laga dijiye

15 min baad kuker ka dhakan hata dijiye aur agar pateeli main paka rahe hain to phir 10 min baad check kerte rahein

Qeema gal jaye to azafi pani sukha lijiye aur qeemay ko itna buniye k masla aur qeema oil chor dei ab is adrak powder ya paste shamil karein aur phir is main sath he hari marchein daliye aur matar aur 5min bhunein

Bint E Aadam's Kitchen 33ng211

kuch aisi shakal ho gi

us k baad 2 glass phir se pani add kerein aur matar ko galne k liye rakh dein steam lagana chaiye to bus 4 se 5 min lagaiye pani azafi ho to khsuhk ker lein aur bhune 2 min aur bus matar qeema tyar hogaya haray dhaniya dlaiye aur dish out ker k sarv kerein

Bint E Aadam's Kitchen 2mnhx1j

{aur yaad hai na k pakana jab shuru ekrna hai Bismillah Zarur parhni hai aur her chotii se choti chiz bhi dlate waqt Bissmillah zarur parhni hai

aur agar bhool gaye to kya jab bhi yaad aaye

BISMILLAH IRAHMANIRAHEEM AWALU WA AKHIRATU

parh lein :)}


_____________________________________________________

Matar Pulaow

Matar k danay ...................................................1 Cup

Chawal........................................ Aadha Kilo

{pakanay s eaadha ghenta pehle dho ker bhago dijiye}

Pyaaz.................................................1 khane ka chamch

{bareek Aur Lambi kati hui}

Lehsan Paste...............................1 chaye ka chamch

Tamatar...........................................aik adad Darmiyane size ki

{ chota chota akt lein}

Lemon Slices..................................................2 leemo k

Bint E Aadam's Kitchen 33u5r9g

Hari Mirch....................... 4 Adad

{darmiyan main se lambayi ki shakal main Kaat Lein }

Bint E Aadam's Kitchen Wl2j5w

Namak................................................1 and half Chaye ka chamch

Surkh mirch powder...............................adhi chaye ak chamch

garam masala.......................................Aadhi Chaye ka chamch

chinish salt ...................................1 chutki bus

Zeera ................................1 chaye ka chamch

Sukha Dhaniya...............................1 chaye ka chamch

{yeh hara dhaniya nahi hota amsala jaat main aata hai yeh}

oil pakanay k liye

---------------------------------------------------------------

Tarkeeb:

Sab se pehle Paknay ka Bartan Jis main Chawal bnanay hon woh chulhe per rakhiye us main 4 khane k chamch oil daliye aur agar aap ghee main paka rahe ho to 2 khane k chamch daliye ab is main

pyaz aur lehsan paste dal dijiye aur fry kijiye brown ho jaye to dhakan uper rakh ker kinaray s epani dlaiye aur jhat se dhakan barabar ker dijiye k cheente na urein yeh colour nikalne k liye pani add hua hai jab shot pateeli se aana kam ho to dhakan hata ker chamch chaliye ab is main namak garam masal surkh mirch powder sukha dhaniya zeera sab dal ker achay se mix kerein k brown pyaz ka mota sa he sahi apste sa ban jaye ab is {yad rkahein pani sukhne na paye} to is main tamatar,hari marchein aur lemon slices dal ker bhunein jab achay se bhun jaye aur tamatar thoray se naram par jayein aur phir matar dal dein jaisa k image main aur kuch aisi shakal ho gi


Bint E Aadam's Kitchen 1037txi

5 min mazeed bhunein jab kuch is trah se ho jayein jaisa k image main hai

Bint E Aadam's Kitchen Ngbwcn

{lemon slice ab nikal lein ap}

to ab aap is main pani add kerein 2 se 3 glass pani aur ab matar ublne k liye dhakan rakh dein pateeli per 15 min baad check kerien matar gal jayein to theek aur agar nahi gale to pani kam mehsoos ho to half glass ya aik glass us hisab s ek matar gal jayein add kerein jab matar gal jayein to is main chawal dal dijiye aur aik daffa bus chamch halaiye ab chawal dlane k baad aik ubal anay per is main chiness salt dal dijiye aur ab aik daffa phir chamch chalyein ab is main se pani thora sa le ekr check kerien namak theek hai agar bohat kam lage to half chamch aur le lein aur agar normal lage jaise salan main hota hai to aur add na kijiye q k pani khushk hone k baad woh namak chawlon main he rachta hai so dhiyan rahe :) aur aik baad ka khiyal rkahein mara galte waqt ka bhi pani ho ga chawal jis pan main bhege hain us ka bhi pani ho ga ap ko zarurat lage to aik glass pani add kijiye warna rehne dijiye pani kitna chaiye is ka hisab hum yun batlatay hain k jab aap chawal dal ekr aik daffa chamch halayein gay to khafgeer {chawal pakanay ka chamch chawal k uper rkahein aur itna pani ho k kafgeer{chawal pakanay ka chamch} ka nichla gol half hiusa pani main doob jaye to pani kafi hai amzeed ki zarurat nahi umeed hai samjh a agayi ho gi

ab taiz aanch epr pakana hai chamch bohat kam chaliye ga warna chawal tutne ka khatra hota hai

ab aap ne jab pani khush ho jaye to dhakan laga ker dheemi aanch per dam per rakhiye :) aur 5 to 8 min baad check kerein chawal tyar hain 5 s ekam time bhi lag sakta hai depend ekrta hai aap k chulhe ki aanch per :) so bus ab dish main nikaliye aur matar qeema k sath matar pulaow srv kijiye


Bint E Aadam's Kitchen 6zpycg

{aur yaad hai na k pakana jab shuru ekrna hai Bismillah Zarur parhni hai aur her chotii se choti chiz bhi dlate waqt Bissmillah zarur parhni hai :)

aur agar bhool gaye to kya jab bhi yaad aaye

BISMILLAH IRAHMANIRAHEEM AWALU WA AKHIRATU

parh lein :)}



_______________________________________________________

Lemon Salad

Fresh Lemon Salad hum aap ko banana to sikha chuke per is main pyaz katne ka tareeka alag ho ga bus yahan aap ne bus payz ko lambi katna hai baqi sab waisa he ho ga :) aur band gobhi bus thori si kachumar sald main dlani hai baqi alag se rakhni hai :) aur gajar bhi nahi dlani bus pyaz,tamara kheera aur band gobhi zara si :) umeed hai smajh aa gayi ho gi :)

Bint E Aadam's Kitchen 334oxsj
_____________________________________________________

4Bint E Aadam's Kitchen Empty Re: Bint E Aadam's Kitchen 18/10/09, 01:37 pm

Bint E Aadam

Bint E Aadam
New member
New member

Masoor Ki Khati Daal

{bagair Chilkon ki Orange Colour ki }

Masoor ki Daal............................................half KG

{Dho ker bhago dijiye Aap Laugo ki Sahulat k liye sath main image di hai :)}

Bint E Aadam's Kitchen 8wchuo

Payaaz...................................2 Adad Darmiyani Size ki

{bareek aur lambi kat lein}

Lehsan PAste.........................................1 chaye ka chamch

Adrak Powder or Paste........................half chaye ka chamch

Namak.....................................1 chaye ka chamch

Surkh mirch Powder...............................half chaye ka chamch

Haldi..................................................................3 chutki k barabar

Tamatar.............................................1 adad

{ 4 khane k chamch main bareek kaat ekr dal ker fry ekrien naram par jayein to paste sa chamch ki madad s ebana lein}

Hari Mirch.............................4 Adad

{darmiyan main se kat lein :)}

Lemon juice ...................................1 khane ka chamch

Lemon slice aur Hara Dhaniya garnish k liye

oil ..........................aik piyali


Bhagar k liye

1 choti pyaaz bareek kat lein Bighar k liye

aur aik chaye ka chamch safaid zeera

-------------------------------------------------------

Tarkeeb

Aik pateeli main oil dlaiye is main pyaz aur lehsan ka apste dal ker achay se fry kijiye jaisa k image main hai

Bint E Aadam's Kitchen 1z3tfu1

ab is k baad is main jab lehsan brown hone lage aur pyaz bhi pinky touch de

Bint E Aadam's Kitchen 2090epg

to aap is main pani half glass dal ker chamch se haliye shakal kuch aisi ho gi

Bint E Aadam's Kitchen 14kgvbl

josh anay dijiye aur jab pani qadray kam ho to ap is main namak mirch tumam masala jaat dal dijiye aur namatar ka paste b dal ker bhunein 5 min pani mukamal taur per khsuhk ho ker oil chore ga to ap ne pani dal dena hai 1 glass k barabar aur dhakan laga dena hai tai aanch epr 5 min baad ap ne dhakan hata ker azafui pani ko khuch ker k masalay ka apste sa pakanay k chamch se bana lena hai aur jab pani qadray khsuhk ho to hari mirche dal deni hai aur adrak powder achay se bhunne k baad lemon juice dal dijiye aur jab oil chone lage masala to kuch aisi shakal ho gi

Bint E Aadam's Kitchen B6ppuc

ab aap ne is main daal jo bheegi hui thi pani smaait dal deni hai aur 2 glass aur pani add ker k pakana hai yad rkahe abhi dhakan nahi lagana pateeli per {yeh dal kuker main nahi bane gi :)}

Bint E Aadam's Kitchen 34ycnma

jab dal achay se gal ker mil jaye aur gargi hone lage to bhagar k liye
aik chotay fringpan main aap ne oil 3 khane k chamch dalna hai aur pyaz zeera daal ker fry kerein

Bint E Aadam's Kitchen 14y2tf4

brown ho jaye

Bint E Aadam's Kitchen 20hw0n

Ro daal main Daal ker Tarka laga lein aur bus aap ki daal tyar hara dhaniya

ab srvin bowl main aap ne daal dalni hai bareek hari mirch kat ker aur lemon slices k sath garnish ker k srv kerein white rice {boiled} k sath

Bint E Aadam's Kitchen Aytvzq

Aur Tarefein paiye

yad rakhiye lemon juice k sath ya lemon salad k sath yeh behaad mazay ki daal sabit hoti hai :)

try kerien aur nataij se agah kijiye :)



{aur yaad hai na k pakana jab shuru ekrna hai Bismillah Zarur parhni hai aur her chotii se choti chiz bhi dlate waqt Bissmillah zarur parhni hai :)

aur agar bhool gaye to kya jab bhi yaad aaye

BISMILLAH IRAHMANIRAHEEM AWALU WA AKHIRATU

parh lein :)}



5Bint E Aadam's Kitchen Empty Re: Bint E Aadam's Kitchen 18/10/09, 01:38 pm

Bint E Aadam

Bint E Aadam
New member
New member

Salam-o-Alaykum

hum ne chand raat yani Eid ul Fitar walay Day Se qabal Jo Raat Hoti hai ....ko khair se lab e sheeren bnaya alhamdulilah bara mazay ka bana sab ne tareef ki share kerte hain :)

yeh hum woh recipie bata rahe hain jo kal banayi

Lab E Sheeren

12 se 14 afrad k liye aham aham{sab ki traf bijwnai se so aao

Dudh.............................. 2 KG

Cheeni.............................2 MAG {Chaye k cup hote hain na woh}

Cream................................Milk pack ki le lein ya jo mile ba aasani....................{2 packit}

Kelay.....................................3 Adad

Angoor.............................motay aur baray hon to beej nikal ker chota hota ker lein chota ho to drmyan se bus katein

Corn Flr.......................................dudh ko garha kerne k liye...................2 khane k chamach

badam pista............................................kat lein bareek garnish k liye aur lab e sherein main dalne k liye

Pasta Rangeen sawaiyan ba aasani mil jayein gi market se...........................1 packit ubal lein

Arq e Gulab................................2 chaye k chamch



Tarkeeb

Dudh ko chulhe epr rakhein per garam akrne se qabal aik bowl main 4 se 6 khane k chamch dudh nikal ker us main corn flr mix ker lein achi trah k ghul jaye ab dudh garam ho to us maindudh main ghula corn flr dalein aur musalsal chamch halayein tora garha hone epr cheeni dalein aur mazeed garha karein ab arq e gulab dalein . phir chulhe se utar lein thanda ker k aik bowl main jo dudh pakaya tha woh aik bowl main lein aik cup k barabar us main cream dalein aur phant ekr achay se ab us pakaye hue dudh main mix kerein cream hal ho jaye to sawaiyan dal ker mix kerien yaad rakhein dudh thanda ho to cream aur sawaiyan dalni hai

phir katay hue phal pista badam thora sa dal ekr dish out kerein aur badam pista s egarnish ekr k srv kerein khub thanda ker k yeh dish jitni thandi ho gi utna maza de gi


Bint E Aadam's Kitchen Qy6yv9

Bint E Aadam's Kitchen 34o2c8g

^^^^Kahin Bhejna Ho To Bhi isi trah garnish ker k bhejein :-)

6Bint E Aadam's Kitchen Empty Re: Bint E Aadam's Kitchen 18/10/09, 01:38 pm

Bint E Aadam

Bint E Aadam
New member
New member

Salam-o-Alaykum

Daal Chicken/Daal Gosht ki Recipe

Daal....................................Aadha Kilo

{dho ker bhigo dein taqreeban half hour bhigona hai}

Chicken or gosht................... Aik paow{ya jitna aap chahyein }

Payaaz......................Darmiyani 2 Adad {Bareek aur lambi kat lein}

Lehsan Paste...........................aik khane ka chamch

Adrak Paste ya Adrak Powder...................Aik chaye ka chamch

Namak.............................Aik Chaye Ka Chamch/Hasb e Zarurat

Surkh Mirch.............................Half Chaye ka chamch {ya hasb e pasand }

Haldi .............................................2 Chutki k barabar

Tamatar......................................2 adad

Garam Masala................................Aik Chaye Ka Chamch

Hari Mirch..............................................4 Adad Choti bari hon to 3 le lein

Hara Dhaniya...................................2 khane k chamch bareek kata hua

Oil .................................hasb e zarurat

__________________________________________________

Tarkeeb:

Kuker ya pakanay k bartan main oil dlaiye us main pyaz aur lehsan daliye thora sa bhunne k bad is mein namak daliye aur chicken dal dijiye agar taza hai to b aur agar freezer ka hai to pehle bhigo dein botiyan alaida alida ho jayein to pakanay ka amal shuru kijiye khair pyaz lehsna k sath chicken bhi bhunein ta k namak ka zaiqa chicken main bhi rach bus jaye aur agar ap mutton dalna chhatay hain chicken k bajaye to tab ap pakane se kuch der pehle 1 khane ka chamch Papeeta paste laga dein {yeh mutton ko jaldi gala deta hai }khair jab pyaz brown hone lage to is main tumam masala jaat dal ker aanch dheemi ekr dein ab aik chulhe per aik pain main 4 khane k chamch oil dalein us main tamatar kate heu beej samait dalne hain aur jab yeh galna shuru hon aur paste sa ban jaye to aap ne jo hum ne pyaz lehsan aur chicken ya mutton bhuna tha us main tamatar paste dal dein aur achay se mix kerien 5 min bhunein aur ab agar ap kuker main paka rahe hain to 1 n half glass pani dlaiye aur agar dhakan walay bartan main to 2 glass pani <= yeh chicken k liye aur agar mutton paka rahe hain to 2 glass kuker main pani dalein aur agar dhakan walay bartan hai to phir 3 glass pani dlaiye aur dhakan laga dein aur kuker hai to steam laga djiye {umeed hai smajh a agayi ho gi :)}khair ab aap ne kuker main Chicken bana rahi hain to 8 min baad dhakan khol lein aur agar mutton bana rhai hain to phir 10 to 12 min baad check kerien chicken to jhat pat galta hai mutton main zara time lagta hai khair gosht gal jaye to ab pani jo azafi ho usay sukhne dein aur sath sath bhunte rahein jab masla aur gosht bhun jaye to ap ne ab chicken ko nikal lena hai alag plate main k kahin dla pakte woh ghul na jaye aur agar mutton hai to khair hai masla bhunne ka theek se yahan pata chale kga k masala oil chorne lagta hai Theek ab ap ne masalay main dal dal ker 5 min bhunna hai aur phir aap ne pani hasb e zarurat dal ker steam laganai hai agar pein main paka rahe hain to dhakan laga dein pein main ho to drmiyan main check ekrte rahe aur steam {kuker} main paka rahe hain to 15 min baad steam hata ker dekhein dal gal gayi ho to jitni thik dal kerni hai utna ker lein ab garam masala hari mirchein drmiyan se kat ker dal main dalen aur gosht dal ker 5 min pakayein bad main zara dal thik ho jaye to DOE {pakanay ka chamch} se zara sa ghora sa laga lein k dal mil jaye ab hara dhaniya dlaiye lijiye Dal gosht tyar hai

{Aik Tip

Ap jab yeh Dal gosht paka rahe hon to sar ko lapait lein k bal chupe hon khawateen duppatay se apna sar dhanp lein aur shuru waat
Bismmilah se karein aur her chiz jo bi dalein chahye choti se choti chiz kune na ho ap ne Bismillah aprhni hai parhna bhool b jayein to baad main jab yaad aaye pakate hue to parhein

Bismilalh Irhman niraheem Awalau wa akhiratu

yeh perh lein aur jab Dam per lagayein to dil mein kahein K Aye Allah main ne tera nam le ekr pakana shuru kiya tha is main barkat tu ne dalni hai Zaiqa tu ne dena hai Aur sab theek bane}

Insha Allah Dekhiye ga sab itna mazay ka lage ga aur sab ko itna pasand aaye ga jaise restuarnt ka bana hai :)




Bint E Aadam's Kitchen 2rcqr8m
__________________________________________________

Boiled Rice.

Chawal.............................................half KG

{Pakanay se qabal half hour chawal dho ker bhago ker rakh dein}

Namak...............................................2 chaye k chamch

pani........................................................6 se 7 glass

Tarkeeb:

Chawalay bnanay k liye bartan jis main chawal bannay hon chulhe per rakhein us main pani dlaiye aur namak aur ublne k liye rakhein :) jab pani ubalne lage to us main bhege hue chawal daliye aur aik daffa chawalay pakanay walay chamch se chawal sahi s ehala lein pani ubalne lage to uper ayi jhag chamch s enikalte jayein jab aik kani reh jaye to in chawalon ka pani nathar lijiye ya kisi bareek surakh wali chandi main undel dein k sara panibeh jaye aur chani main bus chawal reh jaye ab in chawalon ko wapis bartan main dalein aur dam laga dein 5 min liye aur bad main garma garm dishout kijiye daal gosht k sath sarv kerein jab dal gosht ho to sath main lemon salad na ho to kuch maza nahi aata ab lemon salad ki tarkeeb btatay hain :)

aur yaad hai na Bismillah chawal bnatay hue b parhni hai zaiyqa aur tareefein chhate hain

Bint E Aadam's Kitchen Xbwz0p
______________________________________________

Fresh Lemon Salad

Bint E Aadam's Kitchen 30ib3m1

Pyaz.........................................2 adad dirmiyani

{bareek aur choti kat lein aur is ko namak laga ker achay s edho lein k is ki smell dur ho jaye}

tamatar................................................aik adad choti

{is k bhi beej nikal ker chotay aur chakor tukron main kat lein}

gajar..........................................bari wali ho to 1 warna 2

{is k do tukre drmiyan s eker k lamabayi main aur ander se keel (white hisa) nikal lein aur red part k chotay chotay chakor tukre kat lein :)}

Band gobhi.................................................Aadha cup bareek kati hui

Namak......................................................2 chutki

Garam masala ..................................1 chutki

Lemon juice..................................................3 khane k chamch

Tarkeeb

Sab kate hue ajza ko aik bowl main dalein namak garam masla dalein aur sath he lemon juice dal ker mix kijiye achay se aur dishout ker k daal gosht+ rice k sath salad srv kerein aur yahan bhi yaad hai na chotay se chota kam karte katte waqt b Bissmillah parhni hai

aur bus sab kaam ho gaye ab bus srv kijiye aur tareefein wasool kijiye

aur hamein ijazat dijiye

TC

Fi aman Allah







Bint E Aadam's Kitchen 33o0dqqBint E Aadam's Kitchen 2ewdrtg

7Bint E Aadam's Kitchen Empty Re: Bint E Aadam's Kitchen 18/10/09, 01:39 pm

Bint E Aadam

Bint E Aadam
New member
New member

Mung Ki Daal

{bagair Chilkon ki Daal }

Mung ki Bagair Chulkon ki Daal............................................half KG

{Dho ker bhago dijiye Aap Laugo ki Sahulat k liye sath main image di hai :) k kahin aap laug mash ki daal na smajh lein :)}

Bint E Aadam's Kitchen Nd3q51

Payaaz...................................2 Adad Darmiyani Size ki


Lehsan .........................................8 se 10 Joye jo aik gathi main hon

Adrak Powder or Paste........................half chaye ka chamch

Namak.....................................1 chaye ka chamch

Surkh mirch Powder...............................half chaye ka chamch

Haldi..................................................................3 chutki k barabar

Tamatar.............................................1 adad

{ 4 khane k chamch main bareek kaat ekr dal ker fry ekrien naram par jayein to paste sa chamch ki madad s ebana lein}

Hari Mirch.............................4 Adad

{darmiyan main se kat lein :)}

Bint E Aadam's Kitchen Wl2j5w

oil ..........................Half piyali
-----------------------------------------------------

Tarkeeb

pakanay ka bartan chulhe per rakhein us main oil daliye.pyaz aur lehsan k joye dal ker fry kijiye

Bint E Aadam's Kitchen Fwlvsi

Golden ho jaye to ab aap is mein namak surkh mirch,haldi,tamatar paste dal dijiye jo banaya tah achay se bunein 5 min bad 2 glass pani dal ekr steam laga lijiye 5 min steam lagayein the dhakan khol ker pani khushk kerein aur handi pakanay walay chamch ki madad se masala bhun aur pees lein k khara masla na rahe bhun jaye to aur pani khushk ho jaye to adrak powder ya apste jo ho woh dal dijiye aur hari marche bhi aur theek bhunne ki nishandahi yun hai k misala oil chore ga yahan aap bhegi hui mung ki daal pani samait daliye aur aik daffa chamch hala ker 10 min k liye without dhakan pakayein us k baad 2 glass pani daliye aur again steam laga dein 5 min baad zyada nahi 5 min baad steam khol lein aur ab taiz aanch per pakayein chamch waqfay waqfay se chalati rahein garhi hone per daal chulha band kijiye srvin bowl main daal nikal lijiye aur srv kijiye

Bint E Aadam's Kitchen 344faft


aur haan white rice k sath srv kijiye lemon salad jis ki Recipie pehle bata chuke hain :) wohi sath rahe ga yaad rkahiye Chawal jab bhi hon kachumer salad plus lemon juice maza de ga :)

{aur yaad hai na k pakana jab shuru ekrna hai Bismillah Zarur parhni hai aur her chotii se choti chiz bhi dlate waqt Bissmillah zarur parhni hai :)

aur agar bhool gaye to kya jab bhi yaad aaye

BISMILLAH IRAHMANIRAHEEM AWALU WA AKHIRATU

parh lein :)}

8Bint E Aadam's Kitchen Empty Re: Bint E Aadam's Kitchen 18/10/09, 01:40 pm

Bint E Aadam

Bint E Aadam
New member
New member

Mix Veg

Payaaz...................................2 Adad Darmiyani Size ki


Lehsan Joye........................................10 se 12 Adad {aik gathi Main Jitne hon }

Adrak Powder or Paste........................half chaye ka chamch

Gajar............................. Aik Pao

{ uperi skin utar ker saaf ker k chotay tukron main kat lein}

Matar ................................ Aadha Kilo

Aalu..............................................Aik Pao

{is ki bhi uper se chiklay utar ker kat lein aap ki sahulat k liye stah main image de rahe hain k maloom ho jaye cutting kaisi kernin hai sabziyo ki sab sabziyo ko dho ker bhago dijiye }


Bint E Aadam's Kitchen O7lock

Namak.....................................1 chaye ka chamch

Surkh mirch Powder...............................half chaye ka chamch

Haldi..................................................................3 chutki k barabar

Tamatar.............................................1 adad

{ 4 khane k chamch main bareek kaat ekr dal ker fry ekrien naram par jayein to paste sa chamch ki madad se bana lein}

Garam masala powder ..........................................aik chaye ka chamch

oil ..........................Half Piyali

--------------------------------------------------------------------

Tarkeeb

pakanay ka bartan lijiye us main oil dlaiye aur pyaz lehsan daliye fry hkarein golden ho jaye to is main namak,mirch,haldi dal dijiey aur sath he tomato paste jo bnayi thi ham ne woh achay s emix kerein 5 min bhinein baad main 2 glass pani daal ekr steam laga dein agar kuker main nahi bana rahe to dhakan laga dijiye k lehsan gal jaye...............5 min baad kuker ki steam hata lijiye aur agar ap pateeli main paka rahe hain to 15 min rakhiye.............us k baad azafi pani taiz aanch epr khuch karein pakanay walay chamch se masala peesein k achay s epaste ban jaye us k baad is main garam masala daliye aur sath eh sabziyan tumam daal dijiyeaur achay s emix kerein k sabziyan achays emasalay main mix ho jayein

Bint E Aadam's Kitchen 2hs25ps

ab aap ne is main pani bilkul nahi dalna aur aam dhakan jo hota hai woh pateeli ya kuker per rakh dijiye k bhanp main sba sabziyan galeion yaad rakhiye ga k aanch behaad dheemi ho :)

45 to 50 min main Mix veg tyar hai hara dhaniya Daliye

Bint E Aadam's Kitchen 2z80prp

aur srvin bowl main daal ker aam k achar fresh salad and haray dhaniye poodene ki chutny k sath srv kerein is k sath roghni naan ya chapati sahi rahe gin :)

Bint E Aadam's Kitchen 2ykc85v
----------------------------------------------------------------

Hari Chutny k liye

Dahi........................................hasb e zarurat

Hara dhaniya .......................................bareek kata hua 4 khane k chamch

Podeeena.......................................1 guchi

Namak.......................1 chaye ka chamch

Hari Mirch...........................................2 Adad

Sil Batay per hara dhaniya podeena aur hari mirch bareek pees lein us k baad is main namak dal ker again sil batay epr peesein aur baad main aik bowl main nikal lein

Aik alag bowl main dhai lein jitni chatni bnanai hoon us k baad is ko phente achay se aur is main hari chutni daal ker mix kerein thori thori daliye :) kahin zyada na add ho jaye aur bus hari chutni tyar :)


Bint E Aadam's Kitchen 2zq61ht
__________________________________________________

Frsh Salad


Bint E Aadam's Kitchen 2gsj2w3

Pyaz..............................................1 Adad

{Gol lacon main kaat ker namak se dho lein}

Tamara...................................aik adda drmiyani

{gol kat lein}

Kheera............................... 1 adad

{gol kat lein}

Band gobhi...................................aadhi piyali

bareek kati hui

Lemon slices.......................................1 leemo k katlein



_______________________________________________

Tarkeeb.

Pyaz ,tamatar, bandgobhi,kheeray kate hue lemon slices sab aik mixing bowl main mix kerein namak dlaiye aur srvin bowl main nikal ker srv kijiye

{aur yaad hai na k pakana jab shuru ekrna hai Bismillah Zarur parhni hai aur her chotii se choti chiz bhi dlate waqt Bissmillah zarur parhni hai :)

aur agar bhool gaye to kya jab bhi yaad aaye

BISMILLAH IRAHMANIRAHEEM AWALU WA AKHIRATU

parh lein :)}

Ab Ijazat Dein TC

fi Aman Allah

9Bint E Aadam's Kitchen Empty Re: Bint E Aadam's Kitchen 18/10/09, 01:41 pm

Bint E Aadam

Bint E Aadam
New member
New member

Palak Chicken

Palak................................ Sawa Kilo

{bareek kat k achay s edho lein k mati nikal jaye}

Chicken................................................aik pao

Pyaaz......................2 Adad

{Bareek Aur Lambi Kat lein}

Lehsan.....................................1 Gathi {10 se 12 Joye}

Adrak powder Ya Paste...................................{half chaye ka chamch

Hari Mirch.....................................4 Adad

{Damiyan Se Kat Lein}

Namak................................Half chaye ka chamch /Hasb e Zaiqa

Surkh Mirch.................................Half Chaye Ka Chamch

Haldi............................................3 chutki k brabar

Oil...................................half piyali

---------------------------------------------------------------
Tarkeeb:

Pakanay k Bartan Main oil dlaiye aur half chaye ka chamch namak dal k chamch se halayein us k baad pyaz lehsan dal ke r5 min bhunein ab is k sath he chicken b daal dijiye aur 10 min fry kerein jab golden hone lage jaise k image main hai

Bint E Aadam's Kitchen 2ew0iyq


to chicken ab aik plate main nikal lein

ab is main tumam masala jaat adrak paste sab dal ker bhunein 5 min aur baad main is main derh glass pani dal ker steam laga dijiye

5 se 7 min baad kuker se steam hata dijiye aur azafi pani ko taiz aanch per khush kar lijiye ab maslaay ko chamch se sath sath maslti jayein k paste ki shakal banti jaye jab yeh bhun jaye jab lehsan pees jaye masala sa ban jaye to chicken dal ker hari mirch dal ekr 5 min bhunein k oil masla chor de ab is main palak dal dijiye

Bint E Aadam's Kitchen 14uf2mf

aur 5 min taiz aanch per bhun ker ab dhakan rkah dein ab aap ne kuker main steam nahi lagani palak chicken bhanp main he banein ga aur pani b nahi dlana q k palak pani chore ga isi pani main palak gale gi aur pake ga bhi salan :)

bus 30 se 45 min baad palak chicken tyar drmiyan main check kerte rahiye k nichay lage na lagne lage to palak check keriye theke se pak gayi ?

pak jaye to bus dish out kijiye aur brown rice k sath srv kijiye


Bint E Aadam's Kitchen 358op4w
------------------------------------------------------------------

10Bint E Aadam's Kitchen Empty Re: Bint E Aadam's Kitchen 18/10/09, 01:42 pm

Bint E Aadam

Bint E Aadam
New member
New member

Brown Rice

{Brown Rice jise punjab k aksar gahranon main Tarkay Walay chawal bhi kaha jata hai palak gosht k sath yeh rice khub maza detay hai}

Chawal..................................Half KG

{adha ghenta qabal pakanay s ebhigo dijiye dho k }

Pyaz.......................... bareek kati hui khane k chamch k brabar

Lehsan powder ya paste.................................half chaye ka chamch

Namak.................................................1 and half chaye ka chamch

{hasb e zaiqa}

bari Ilaichi..........................................2 adad

Bint E Aadam's Kitchen 243gvb8

Hari mirch................................2 adad

------------------------------------------------------------
Tarkeeb
pateeli main oil daliye aur pyaz aur brown kijiye itna brown nahi kerna jitna pic main hai

Bint E Aadam's Kitchen 1230c39


Pyaz itna brown kijiye

Bint E Aadam's Kitchen 307mgkx

qadray brown ho to aap is main lehsan powder aur dlaiye

Bint E Aadam's Kitchen 244qpno

mix ker k ab is main pani dlaiye to kuch aisi shakal ho gi


Bint E Aadam's Kitchen 244qpno

ap mix kerte jaiye aur sath main bari ilaichi 2 dal dijiye aur mix kerein colour kuch aisa ho ga

Bint E Aadam's Kitchen 2jfhxxc


Bint E Aadam's Kitchen Xggvtz

ab is main hari mirch namak dal ker bhunein 2 min aur chawal jo bhigoye hue thay pani samait dal dijiye aur ab pani ka hisab btaty hain chawal dlane k baad uper se kafgeer {pkanay ka chamch aise ho ga




Bint E Aadam's Kitchen 2nko0aw

Pani ki satah check kerne k liye k chawla tak le jayein aur half kafgeer doob jaye to pani theek hai bus taiz aanch per pakaiye

[
Bint E Aadam's Kitchen 16c9xd4


pani qadre khushk ho aur is trah se chawal nazar aayein

Bint E Aadam's Kitchen Ju8e42


to behaad dheemi aanch per dhakan rakh ke rparteeli per chawalon ko dam laga dijiye 5 min baad check ekrien chawal gal gaye to theek warna kuch der aur ther jaiye

pak jane ki surat main dish out kijiye aur palak chicken k salan k sath paish kerein

Bint E Aadam's Kitchen 2m3fi9d
---------------------------------------------------------

11Bint E Aadam's Kitchen Empty Re: Bint E Aadam's Kitchen 18/10/09, 01:44 pm

Bint E Aadam

Bint E Aadam
New member
New member

Kheeray Ka Raita

Kheera...........................................2 adad

{kheera lambayi main katein

Bint E Aadam's Kitchen 10eede1


baad main is trah katiye jaise pic main hain}

Bint E Aadam's Kitchen 30be7lx

Dahi ...............................................aik piyali

Hari daniye poodene ki chutni..........................1 chaye ka chamch

namak....................................2 chutki

chat masala.............................................aik chutki

---------------------------------------------------------

dahi phent ker achay s eis main hari chutni namak chat masala dal ker bhentein aur ab is main kheeray kate hue dal dijiye mix ker k srvin bowl main dalein kheeray ka raitatyar hai

Bint E Aadam's Kitchen 13z1rir

-------------------------------------------------------------

khati Salad

kheera...........................1 adad

{lambayi main bareek bareek aur sakht hisa kat lein}

gajar .....................................2 adad

{kat ker ander se white hisa jise keel kehte hain nikal lein aur l;ambayi main red hisa katein}

lemon juice............................................3 khane k chamch

namak ...............................................1 chutki

chat masala..............................................half chutki

{mean zara sa}

lemon slices..................................................Garnish k liye

--------------------------------------
Bint E Aadam's Kitchen 33mu8m8


Tarkeeb mixing bowl main kate hue gajar kheray lemon juice masalajat dal ekr mix kerein srving bowl main dal ker lemon slices add ker k srv kijiye palak gosh brown rice k sath

{yaad hai na sba bnatay hue Bismillah patrhi hai aur sar epr duppata ho :)}
[/b]

12Bint E Aadam's Kitchen Empty Re: Bint E Aadam's Kitchen 18/10/09, 01:45 pm

Bint E Aadam

Bint E Aadam
New member
New member

24.10.2008 ham ne yeh banaya pehle images dikhate hain then Recipies

1.Mash ki Kari Daal

2.Papri Chaat

3.Dahi Bhallay

4.Chana pulaow

5.Fresh Salad

6Chutn




Bint E Aadam's Kitchen 282hq9c

Bint E Aadam's Kitchen 2a607x2

Bint E Aadam's Kitchen S6uk39

Bint E Aadam's Kitchen F4gvo8

Bint E Aadam's Kitchen 1253ucg

Bint E Aadam's Kitchen 2urte84

13Bint E Aadam's Kitchen Empty Re: Bint E Aadam's Kitchen 18/10/09, 01:46 pm

Bint E Aadam

Bint E Aadam
New member
New member

Papri Chat...

Lobiya............................................1 cup

{raat ka bheega hua ho aur usya next day namak wala pani main galne tak ubal lein}

Safaid Chanay........................................1 n half Chup....................

{yeh bhi raat k bhege hon aur next day namak waly pani main ubal lain kuker main boil ker rahay hain to theek pateeli main to soda dal dijiye galne tak ubal lein}

pyaz..............................................bareek kati hui.

{namak laga ker dho lein}

Lemon juice.................................................3 se 4 khane k chamch

namak...........................................hasb e zarurat

surkh mirch.............................................2 chutki k brabar

chat masala.............................................................1 chaye ka chamch

hari chutni........................................................1 chaye ka chamch

dahi.............................................phenta hua.....................1 piyali

imli k chutny....................................................1 piyali

{bazar se ba asani mil jati hai}

Bint E Aadam's Kitchen 15ciwwn

papri......................................................Hsab e Zarurat



{bazar se samosa pati ya roll pati le lijiye aur fry ker k chura ker lein}
---------------------------------------------------------

Mixing bowl main lobia chanay pyaz masala jaat lemon juice dal ker mix kerin srving bowl main ab dal dijiye

Bint E Aadam's Kitchen Pxg5l

ab aik mixing bowl main dahi main hari chutny {podeenay aur dhaniye ki kuti hui jis ka tareeka hum pehle bata chuke hain} mix ekrien 2 chutki is main namak bhi dal dijiye aur yeh bhi srvin bowl main dal dijiye

Bint E Aadam's Kitchen 29xduue

imli ki chutny bhi srvin bowl main dal dijiye per bazar s ejo mile gi woh thik ho gi thra sa pani mila lijiye k patli zara ho jaye

ab samosa pati ya roll pati jo fry ki thi thandi ki hui us ka chur kr k woh bhi srving trey main dal ker yeh sab srv kijiye

Bint E Aadam's Kitchen I206352224986

Plate tyer kerte waqt pehle lobia chanay ki lyr phir dahi chutny ki phir imli ki chutni aur last main papri uper se per yad rakhiye yeh sba usi waqt kariye jab khana ho warna papri naram ho jaye gi :)

bnaiye khud bi khaiye aur sab ko khilayein aur tareefein wasool karein

{yaad hai na sba bnatay hue Bismillah patrhi hai aur sar epr duppata ho :)}

Bint E Aadam's Kitchen 2a607x2

aap is main aaloo wagairah bhi shamil ker sakte ho ham ne to dahi bhalay bnaye na stah main so ........


aap alug is main aaloo bhi dal sakte hain us din ham ne dahi bhalay main bhi alu dale thay so is main nahi dale

14Bint E Aadam's Kitchen Empty Re: Bint E Aadam's Kitchen 18/10/09, 01:46 pm

Bint E Aadam

Bint E Aadam
New member
New member

Mash Ki Daal

Bint E Aadam's Kitchen 2lu801u

Mash Ki Daal.........................................Half Kg

{dho k bhigo dijiye half hour k liye}

Pyaaz......................2 Adad

{Bareek Aur Lambi Kat lein}

Lehsan.....................................1 Gathi {10 se 12 Joye}

Adrak powder Ya Paste...................................{half chaye ka chamch

Hari Mirch.....................................4 Adad

{Damiyan Se Kat Lein}

Namak................................Half chaye ka chamch /Hasb e Zaiqa

Surkh Mirch.................................Half Chaye Ka Chamch

Haldi............................................3 chutki k brabar

Oil...................................half piyali

garam masala.........................................half chaye ka chamch

hara dhaniya.............................bareek kata hua{1 n half khane ka chamch}

-----------------------------------------------------
Pakanay k Bartan Main oil dlaiye us k baad pyaz lehsan dal kergolden brown hone tak pakayein ab is main namak,surkh mirch,haldi dal ker 5 min bhunein ab is main 1 galss pani dal ker steam lagaiye

steam se kholne k baad masla bhuniye jaise kayi daffa bata chuki hoon k apste si bnani hai ab is main adrak powder hari mirchein dal dijiey bhunein jab masal oil chore to is main mash ki dal pani smait dlaiye shakal kuch yun ho gi

ab aap ne is main 1 glass aur pani dalna hai bus k daal nazar aaye dube nahi halki anch epr pakayein shuru main taiz ho per ubal anay per halki ekr k dhakan rakh dein 10 min baad ap sir f2 min k lityea steam laga lijiye

us k baad steam se utar k halki anch per dal galne dein kuch min baad check kerte rahein k dal lage na gal jaye daal to bus hara dhaniya daliye aur srving bowl main daal ker garam masala dal ker uper se srv kijiye Chapati ya tandoorri Roti k sath

---------------------------------------------------------

15Bint E Aadam's Kitchen Empty Re: Bint E Aadam's Kitchen 18/10/09, 01:47 pm

Bint E Aadam

Bint E Aadam
New member
New member

Dahi bhallay

Bint E Aadam's Kitchen 286shzl

{Pakoriya aur bhallay ba aasani market main available hain agar aap ko us ki bhi tarkeeb chaiye to bata dijiye ga hum recipe share ekr dein gay }

Pakoriyan........................................1 cup

Bhallay...........................................jitne aap ko chaiye fard k hisba s edal lijiye

{yeh dono ashya pani main (neem garam) pani main bhigoiye aur bhala dhyan s ek tutne na paye}

Boiled Channay............................1 chup

Boiled Alu {cubez main katay}...................................aik cup

pyaz..............................................1 adad bareek kati hui

{namak laga ker dho lein yeh pyaz ki smll dur ekrne k liye kerte hain}

tamatar............................................aik adad

{saaf ker k drmiyan se ab is k cubes kat lein }

Dahi......................................................aik piyali {hasb e zarurat}

hari chutny............................................{peesi hui} 1 chaye ka chamch

namak...................................hasb e zarurat

chat masala.........................................................Hasb e zarurat

surkh mirch ..................................................half se bhi kam chaye ka chamch

-------------------------------------------------
mixing bowl main tumam ajza dlaiye mix kerien ab is main masala jat b dal dijiye ab aik alaida mixing bowl main dahi aur hari chutny mix ker k yeh tumam mixed ajza main dal dijiye ab bhalay ahtyat se add kerien halkay hath se mix ker lein ab ise srving bowl main dal ker srv kijiye

16Bint E Aadam's Kitchen Empty Re: Bint E Aadam's Kitchen 18/10/09, 01:52 pm

Bint E Aadam

Bint E Aadam
New member
New member

Chana Pulaow

Boiled Chanay ..................................................aik pao

{raatk bheege hon aur namak walay walay main boiled kerein}

Chawal........................................ Aadha Kilo

{pakanay se aadha ghenta pehle dho ker bhago dijiye}

Pyaaz.................................................1 khane ka chamch

{bareek Aur Lambi kati hui}

Lehsan Paste...............................1 chaye ka chamch


Lemon Slices..................................................1 leemo ka

Bint E Aadam's Kitchen 16gmvc3

Hari Mirch....................... 4 Adad

{darmiyan main se lambayi ki shakal main Kaat Lein }

Bint E Aadam's Kitchen X1hdlx


Namak................................................1 and half Chaye ka chamch

Surkh mirch powder...............................adhi chaye ak chamch

garam masala.......................................Aadhi Chaye ka chamch

chinish salt ...................................1 chutki bus

Zeera ................................1 chaye ka chamch

Sukha Dhaniya...............................1 chaye ka chamch

{yeh hara dhaniya nahi hota amsala jaat main aata hai yeh}

kali mirch sabit......................................4 s e6 adad

Lemon juice.............................4 leemo ka ho

Bint E Aadam's Kitchen 2hqgtxe

Zeera........................................1 chaye ka chamch

oil pakanay k liye

---------------------------------------------------------------

Tarkeeb:

Sab se pehle Paknay ka Bartan Jis main Chawal bnanay hon woh chulhe per rakhiye us main 4 khane k chamch oil daliye aur agar aap ghee main paka rahe ho to 2 khane k chamch daliye ab is main

pyaz aur lehsan paste dal dijiye aur fry kijiye brown ho jaye to dhakan uper rakh ker kinaray s epani dlaiye aur jhat se dhakan barabar ker dijiye k cheente na urein yeh colour nikalne k liye pani add hua hai jab shot pateeli se aana kam ho to dhakan hata ker chamch chaliye ab is main namak garam masal surkh mirch powder sukha dhaniya zeera sab dal ker achay se mix kerein k brown pyaz ka mota sa he sahi apste sa ban jaye ab is {yad rkahein pani sukhne na paye} to is main tamatar,hari marchein lemon slices and lemon juice dal ker bhunein jab achay se bhun jaye aur tamatar thoray se naram par jayein aur phir boiled chanay


achay se bhunein

Bint E Aadam's Kitchen 2ih8k9c

5 min mazeed bhunein k pani qadray kam reh jaye

jab pani qadray kam ho chanay bunne he ahin bus to pani smaait chanay dal dijiye aur jais ebrown rice ka pehle cata chuki pani kaise check ekrna hai ker k aap ne ab is main taiz aanch epr pakayein pani qadray kam ho jaye k naram na pare kafi khushk ho jaye pani to aik daffa chamch halaiye aur dum epr chawlaon ko rakh dijiye 5 se 7 min k liye behad dheemi anch ho drmiyan main check 1 daffa zarur kijiye pak jayein to dish out kijiye

aur garam garam srv kijiye

Bint E Aadam's Kitchen 2e3946g

17Bint E Aadam's Kitchen Empty Re: Bint E Aadam's Kitchen 18/10/09, 01:52 pm

Bint E Aadam

Bint E Aadam
New member
New member

Chicken Biryani


Chicken .....................................................half Kg

{Achay se dho lijiye }

Chawal...................................................Aadha Kilo

{Achay Se Dho Lein Aur Aadha Ghenta Bhigo ker phir aik kani rakh ker ubal lein yad rahe ubalte waqt namak zarur daliye ga}

Pyaz...............................2 adad

LEhsan............................................aik gathi

adrak powder.....................................aik chaye ka chamch

namak...........................................aik Chaye ka chamch

surkh Mirch....................................{powder} Aik Chaye Ka Chamch

Haldi................................ 2 chutki k brabar

Zeera..............................1 chaye ka chamch

Kali mirch sabit..................................... 6 se 7 danay

hari mirch.......................2 se 3 adad

lambayi main dundiyan utar ker kat lein aik mirch k 2 pcz hon

Garam Masala,.,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,1 chaye ka chamch

Boiled Eggs ...............................................2 adad kjate hue

{kat lijiye}

Yellow Food Colour ...........................................thora sa pani main ghula hua

Bint E Aadam's Kitchen 2v283s6

{yellow food colour jis eham zarda rang bhi kehte hain}

Tamatar.........................................2 Adad Darmiyane Size ki

Oil ..............................Pakane k liye

Bhagar k liye

Pyaz.............................aik se derh khane kay chamch k brabar bareek kati hui

2 se 3 khane k chamc oil

---------------------------------------------------------------

Chawal Boil Kerne ka tareeka Adha kilo chawal pehle bhigo dijiye achay se dho ker theke hai na us k baad aap pakanay k bartan main pani dliye ubalne lage to 2 chaye kay chamch namak dal dijiye baad main chamch s eaik daffa halyein aur chawla dal dijiye jab aik kani reh jaye mean adh pakay aur thoray s ekachay to aik surakh wali chani lein jis se chawal niklein na bus pani nikle aisi chani main ikhtyat s eundel dijiye chawal pani samait pani beh jaye ga per chawal aap ne wapis bartan jis main ubale nahi dlane chani main rehne dein :) lijiye biryani ka aik marhala hal hua ;) chawla ubal gaye

ab ap aik kam kariye kuker lijiye behetr rahe ga kuker ho warna degchi main bhi paka skate hain :)

khair kuker main oil taqreeban adhi piyali k brabar daliye :) ab ap ne is main kate hue pyaz dal dijiye lehsan bhi aur fry kerein golden brown hone lage to namak mirch haldi,kali mirch zeera dal dijiye achay s emix kerien thora aur brown ho to ap tamatar hari mirch dal dijiye

Bint E Aadam's Kitchen 2j2dt3s


aur 5 min bhun k adrak powder bhi dal dijiye ab sath main chicken bhi dal dijiye aur bhun lein

Bint E Aadam's Kitchen 2e3wqac


ker ab 2 glass pani dljiye

Bint E Aadam's Kitchen 2l9k2zn


Ab steam laga dien


taqreeban 10 se 12 min tak aap pakaiye isay yad rahe k ap ko damriyan main aik daffa steam se utar ekr check kerna hai k pani khushk ho to nahi gaya ok na khushk hua to theek dubara steam ki zarurat nahi


ab is ko bhunein lehsna jo sabit tha pss lein achay s epaste bane to gosht ko masal lijiye k chotay chotay tukre ho jayein namak check ker lein sahi ho to ok nahi to jitni zarurat ho dal dijiye yad rahe chawlaon main bhi nama hai :)

khair last main jab masla oil chore to janab aap chulha band ker dijiye

ab aik chulhe epr pyaz aur oil dal ekr dheemi anch epr bhagar k liye kam shuur ekr dain aik traf bhagar k liye tyrai dusri traf biryani ki tahein lagaiye

jis main chawla ubale thay us main aap pehle chawal ki lyr lagayein {chawal aadhay pehle dalne hain }phir chicken ka amaiza aise k chawal chup jayein

Bint E Aadam's Kitchen K1q9t2

ab uper se baqi bachay chawal chicken k amaizay k uper daliye


Bint E Aadam's Kitchen 11m7z94

ab ap ne uper zarda colour dalna hai jo pani main ghula hua tha

aur bhagar k liye jo oil main pyaz fry ekr rahe tahy golden hon to bus

usya chawlon epr dal dijiye


Bint E Aadam's Kitchen 2vuc681

aur dum per dhemi anch per chawal rakh dein 5 min baa check ekrien chawal mukamal gal jayein to dish main chawal nikaliye uper anday sajaiye aur garama garam srv kijiye

Bint E Aadam's Kitchen 14xe69c
:)

tc

Duwoan main yaad rakhiye ga

Fi aman Allah

18Bint E Aadam's Kitchen Empty Re: Bint E Aadam's Kitchen 18/10/09, 01:53 pm

Bint E Aadam

Bint E Aadam
New member
New member

Steam Fried Hara Masala Chicken :)

Chicken .........................................6 Drum Sticks {Murghi ki Raan ka Gosht}

Hara Dhaniya...........................................................1 Piyali

Hari mirchein ....................................4 se 6 adad

Zeera......................................Bhuna hia 1 Chaye ka chamch

{hara Dhaniay,Hari murchen dhundiayn utar ker aur zeeray ko Grainder main pees lijiye ho sake tpo sil battay per pees lein Agar aap thori zyada mehnat kerna chhati hain:) warna grainder main pees lein }

yeh aik paste tyar hua

Pyaz.........................................2 adad

Lehsan..............................aik gadi{gathi hoti hai jsi main joye hote hain}

Adrak Powder/Paste.....................................aik chaye ka chamch

{is ko bhi sil battay per ya grainder main pees lijiye per aik baat kehte chale pyaz ko sil battay per peestay hue aansoo bohat niklein gay :dbecuz mere sath hua na :) so agar aap rona nahi chhatay :) to grinder main pees lijiye pyaz lehsan and adrak}

Yeh 2nd paste tyar hua

Ab hum btaty hain dusri ashya

Namak..........................1 khane ka chamch



Lemon Juice...................................4 se 5 khane k chamch

Garam Masala...........................1 khane ka chamch

Kali mirch pisi hui...................................1chaye ka chamch

Namak........................... 1 chaye ka chamch {alaida se}

Pakanay k liye Oil
--------------------------------------------------------

Tarkeeb

Chicken k Drum sticks lijiye achay se saaf ker k dho lijiye aur aik channi main rakhiye 15 min baad dubara pani main bhigyein and 5 min rkahne k baad phir dho lijiye maqsad just yeh hai k blood achay s eremove ho jaye chicken ka

us k baad Drum sticks ko kantay ki madad se good lein goodne se murad chicken main achay se tak lagana hai okay

ab aap ne bowl main aik khane ka chamch namak lemon juice aur chicken drum sticks dal deni hain achay se hathon s elemon juice namak mila jo ho ga lagaiye chicken per half hour k liye chor dein k namak ruch jaye

Bint E Aadam's Kitchen 2vi1m53

half hour baad aap is main hara dhaniya,hari mirch and zeeray ka paste daliye

Bint E Aadam's Kitchen 2ym9bnk

phir pyaz lehsan adrak ka paste daliye


Bint E Aadam's Kitchen 11uksxv

aur ab bari hai isay achay se mix kerne ki masala achay se lag jaye to half chaye ka chamch aur namak dlaiye aur achay se mic kerne k baad Fridge main 1 ghentay k liye rkah dein baad main aik ghentay baad

Bint E Aadam's Kitchen Zsq1jb


is aik bartan main steamer channi jo market mein basani mil jati hai woh rkahiye chani partan main ab thora s apani us steam bowl main daliye pani itna dalna hai k cteamer channis eneechay rahe abhi us chani per drum stickes rakh dijiye aur dhakan rakh dein k steam main chicken qadray gal jaye


Bint E Aadam's Kitchen 10dxnw5

15 to 25 baad chicken ko steamer se nikal lein {aik baat yad rkahiye kuker main ise bilkul steam k liye nahi rkahn hamein mukaml nahi gilana qadray bus gilana hai}
khair ab karahyi {nonstick} main oil dlaiye achay s egaram ho jaye to isya deep fry ker lijiye

golden hone lage to aik alag dosh main tissu per nikal lijiye kuch der baad garam garam he rahein to is per jhat se Aluminum Foil sticks k kinaray per lagaiye fries k sath tamatar k phool rkahiye aur steam fried hara masala chicken srv kijiye per yaad rhae katchup aur imli ki chutny ko mat bhuliye ga


Bint E Aadam's Kitchen Os8wo6
:)

Duwoan main yaad rakhiye ga


TC

Fi aman Allah

19Bint E Aadam's Kitchen Empty Re: Bint E Aadam's Kitchen 18/10/09, 01:53 pm

Bint E Aadam

Bint E Aadam
New member
New member

Qeema Pulaow

Bint E Aadam's Kitchen R8a3c4

Qeema........................... 1 pao
Qeema Pulaow


{Bareek Machine ka peecha hua}

Pyaz..............................Aik Khane k chamch k brabar

{Bareek kati hui

Chawal................................................Half KG{Aadha Kilo}

{dho k achay s ebhigo dein pakanay s ehalf hour qabal}

Tamatar........................................... 1 Adad

{Bareek Kata Hua}

Lehsan Paste...............................1 chaye ka chamch

Hari Mirch....................... 4 Adad

{darmiyan main se lambayi ki shakal main Kaat Lein }

Bint E Aadam's Kitchen 2q3roxy

Namak................................................1 and half Chaye ka chamch

Surkh mirch powder...............................adhi chaye ak chamch

garam masala.......................................Aadhi Chaye ka chamch


Zeera ................................1 chaye ka chamch

Sukha Dhaniya...............................1 chaye ka chamch

{yeh hara dhaniya nahi hota amsala jaat main aata hai yeh}

kali mirch sabit......................................4 s e6 adad

oil pakanay k liye

---------------------------------------------------------------

Tarkeeb:

Sab se pehle Paknay ka Bartan Jis main Chawal bnanay hon woh chulhe per rakhiye us main 4 khane k chamch oil daliye aur agar aap ghee main paka rahe ho to 2 khane k chamch daliye ab is main

pyaz aur lehsan paste dal dijiye aur fry kijiye brown ho jaye to dhakan uper rakh ker kinaray se pani daliye aur jhat se dhakan barabar ker dijiye k cheente na urein yeh colour nikalne k liye pani add hua hai jab shot pateeli se aana kam ho to dhakan hata ker chamch chaliye ab is main namak garam masal surkh mirch powder sukha dhaniya zeera sab dal ker achay se mix kerein k brown pyaz ka mota sa he sahi apste sa ban jaye ab is {yad rkahein pani sukhne na paye} to is main tamatar,hari marchein dal ker bhunein jab achay se bhun jaye aur tamatar thoray se naram par jayein aur phir Qeema Dal dijiye yaad rahiye achay se dho ker khsuhk ker k dalna hai k blood cells ander na rahein qeemay k achay se bhunein Aur phir pani dlaiye 2 se 3 glass jis main qeema achay se gal jaye Theek darmiyan main check ekrtin rahe taqreeban 30 min main qeema gal ajye ga check ekrne k dauran pani kam ho toa ur add ker saktin hain aur namak b check keiye pni khsuhk ho to kuch is halat main ho ga


Bint E Aadam's Kitchen 10p94lu

achay s ebhunein thora panir ahe to chaal dal dijiye aur sath main 1 n half glass pani ta k chawal gal jayein

aur taiz aanch epr aap ne bnanay hai rite :)

pani khushk ho to bus dheemi aanch ekr k dhakan rakh dein aur dum lagaiye 5 min baad check ekriye ga chawal gal jayein to dish out kijiye Qeema pulaow tyar hai :)

aur yaad hai na Bismilah zarur parhni hai aur sar dhaka ho :)


Bint E Aadam's Kitchen Nt8gj
phi

20Bint E Aadam's Kitchen Empty Re: Bint E Aadam's Kitchen 18/10/09, 01:54 pm

Bint E Aadam

Bint E Aadam
New member
New member

[b]Salam-o-Alaykum

Bint E Aadam's Kitchen 2eceq7n

Matar chicken ka Salan


Chicken or gosht................... Aik paow{ya jitna aap chahyein }

Payaaz......................Darmiyani 2 Adad {Bareek aur lambi kat lein}

Lehsan Paste...........................aik khane ka chamch

Adrak Paste ya Adrak Powder...................Aik chaye ka chamch

Namak.............................Aik Chaye Ka Chamch/Hasb e Zarurat

Surkh Mirch.............................Half Chaye ka chamch {ya hasb e pasand }

Haldi .............................................2 Chutki k barabar

Tamatar......................................2 adad

Garam Masala................................Aik Chaye Ka Chamch

Hari Mirch..............................................4 Adad Choti bari hon to 3 le lein

Hara Dhaniya...................................2 khane k chamch bareek kata hua

Oil .................................hasb e zarurat

__________________________________________________

Tarkeeb:

Kuker ya pakanay k bartan main oil dlaiye us main pyaz aur lehsan daliye thora sa bhunne k bad is mein namak daliye aur chicken dal dijiye agar taza hai to b aur agar freezer ka hai to pehle bhigo dein botiyan alaida alida ho jayein to pakanay ka amal shuru kijiye khair pyaz lehsan k sath chicken bhi bhunein ta k namak ka zaiqa chicken main bhi rach bus jaye aur agar ap mutton dalna chhatay hain chicken k bajaye to tab ap pakane se kuch der pehle 1 khane ka chamch Papeeta paste laga dein {yeh mutton ko jaldi gala deta hai }khair jab pyaz brown hone lage to is main tumam masala jaat dal ker aanch dheemi ekr dein ab aik chulhe per aik pain main 4 khane k chamch oil dalein us main tamatar kate heu beej samait dalne hain aur jab yeh galna shuru hon aur paste sa ban jaye to aap ne jo hum ne pyaz lehsan aur chicken ya mutton bhuna tha us main tamatar paste dal dein aur achay se mix kerien 5 min bhunein aur ab agar ap kuker main paka rahe hain to 1 n half glass pani dlaiye aur agar dhakan walay bartan main to 2 glass pani <= yeh chicken k liye aur agar mutton paka rahe hain to 2 glass kuker main pani dalein aur agar dhakan walay bartan hai to phir 3 glass pani dlaiye aur dhakan laga dein aur kuker hai to steam laga djiye {umeed hai smajh a agayi ho gi :)}khair ab aap ne kuker main Chicken bana rahi hain to 8 min baad dhakan khol lein aur agar mutton bana rhai hain to phir 10 to 12 min baad check kerien chicken to jhat pat galta hai mutton main zara time lagta hai khair gosht gal jaye to ab pani jo azafi ho usay sukhne dein aur sath sath bhunte rahein jab masla aur gosht bhun jaye to ap ne matar dal dene hain 5 min inhe bunna hai masla oil chorne lage to bus 2 se arhayi glass pani daliye aur chahyein to steam laga lein 2 min k liye chhayein to dheemi aanch epr paka lijiye jab matar gal jayein to bus pani thora khushk ker lein na zyada garha salan hona chaiye na he bohat patla :) aur bus pak jaye to dhaniya hara bareek kata dlaiye aur dish out ker k chawlon k sath srv kijiye yeh qeema pulaow,matar pulaow brown rice k sath behetr lagta hai


Aik Tip

Aur Jab aap yeh paka rahe hon to sar ko lapait lein k bal chupe hon khawateen duppatay se apna sar dhanp lein aur shuru waat
Bismmilah se karein aur her chiz jo bi dalein chahye choti se choti chiz kune na ho ap ne Bismillah aprhni hai parhna bhool b jayein to baad main jab yaad aaye pakate hue to parhein

Bismilalh Irhman niraheem Awalau wa akhiratu

yeh perh lein aur jab Dam per lagayein to dil mein kahein K Aye Allah main ne tera nam le ekr pakana shuru kiya tha is main barkat tu ne dalni hai Zaiqa tu ne dena hai Aur sab theek bane}

Insha Allah Dekhiye ga sab itna mazay ka lage ga aur sab ko itna pasand aaye ga jaise restuarnt ka bana hai :)

Bint E Aadam's Kitchen 15nqh77

21Bint E Aadam's Kitchen Empty Re: Bint E Aadam's Kitchen 18/10/09, 01:55 pm

Bint E Aadam

Bint E Aadam
New member
New member

Aalu Gosht

Bint E Aadam's Kitchen 51r0vc

Gosht ......................................................Adha Killo

Aalu........................................2 Se 3 Adad {aur agar Chotay hon to 4 Se 6 Adad

{Cheel ker Achay Se Dho ekr Kat lein Sahulat k liye sath image de rahe hain }

Bint E Aadam's Kitchen 2hx7qmp

Pyaz...........................................................2 Adad

{Bareek aur lambi kat lein}

Lehsan................................................Aik Gathi

Tamatar......................................1 Adad lamba kat lein

Hari mirch..........................................4 adad

{lambayi main kat lein}

Adrak Powder............................................1 chaye ka chamch

Namak..........................................Half Chaye Ka Chamch

Surkh mirch Powder......................................Half Chaye Ka Chamch {Hasb e Zaiqa}

Haldi....................................2 Cutki K Brabar

garam masala..................................half chaye ka chamch

hara dhaniya..............................bareek kata hua hasb e zarurat

Oil pakanay k liye


------------------------------------------------------

Kuker ya pakanay k bartan main Pyaaz lehsan aur oil dal ker Darmiyani aanch per fry kerein golden hone lage to ab is main namak aur gosht dal dein {agar aap kuker main paka rahe ho to phir khair ai aur agar aap isay pateeli type bartan main paka rahe ho to pakanay se qabal gosht {Mutton ko Papeeta Pisa hua ya Powder jo mil jaye asani se 1 chaye ka chamch laga lijiye yeh amal jaldi galanay k liye hota hai pateeli main chun k steam theek s enahi lagti so............} khair kuker main mutton,Hari mirchein aur namak dal ker ab ikathe fry keriye 5 min mazeed fry kerien jab pyaz zara brown hone lage to fauran surkh mirch powder aur haldi powder bhid al dein 2 min bhun ker 2 galss pani dal ker steam laga dijiye {but pateeli main aap 3 glass daliye ga} kuker main sab dalne k baad steam lagaiye 10 min baad kuker steam se hata ker dekhiye gosht gal gaya gal gaya to theek per agar to kuch yun halat ho gi pani hoga

Bint E Aadam's Kitchen 2h8db4l

aur masala khara khara sa

Bint E Aadam's Kitchen 2prbwix

ghabrana nahi bus taiz aanch epr pani sukha lena hai :) aur sath sath chamch chalatay rehna hai masala bhi pis jaye ga aur pani bhi khushk

Bint E Aadam's Kitchen 2e5qmnd

aur agar steam se hatanay k baad pani bilkul na ho to bhi chamch chaliye k bus maslaa pisna hoye ga theek hai na

jab gosht bhun jaye aur masa oil chore to alu dal dijiey yad rahe sirf alu dalne hain pani nahi 5 min abhi gosht k sath aalu bhunein aur phir 2 galss pani dal ker

Bint E Aadam's Kitchen 2f03wqf

ab dheemi aanch per am dhakan {kuker ka steam wala dhakan nahi :) aam sa dhakan rakh ker dam main alu galaiye 20 min lagein gay taqreeban khair alu gal jaye to hara dhaniya daliye aur garam masala aur bus garama garm dishout kijiye aur brown rice, ya chicken pulaow k sath srv kerein yad rahe sath main salad aur hari chutny wid dahi rakhna na bhuliye ga jo k hum pehle bhi sikha chuke hain :)

Bint E Aadam's Kitchen 51r0vc

Tip

Hamesha Ki Trah Wohi pakatay lamhay Sar epr Duppata Aur Choti Se Choti chiz bhi dalte waqt "BISMILLAH IRAHMAN ILAHEEM "

Aur agar shuur main bhool gaye to drmiyan main jab bhi yaad aaye to

"BISMILLAH IRAHMANIRAHEEM WA AWALU WAAKHIRATU"

bus aur jab pak jaye to rab s ekhane main barkat aur Lazat ki dua kijiye bad maind kehiye kaise sab tareef ekrte hain aur bus lagan se pakayein to sab kuch aik dum perfect :)

ijazat dein Tc

Fi aman Allah

22Bint E Aadam's Kitchen Empty Re: Bint E Aadam's Kitchen 18/10/09, 01:56 pm

Bint E Aadam

Bint E Aadam
New member
New member

Chicken Koftay


Kofton k liye

Chicken Ka Qeema ................................................Half KG

Pyaz.................................................1 Adad Bari

{Achay s epees lein k paste sa ban jaye}

Namak......................................... Chothayi Chaye Ka Chamch

Anda ............................................. Aik Adad

Ya Besan.......................................1 n half khane ka chamch

{anda daliye ya Besan}

Surkh mirch powder.......................................half chaye ka chamch

Hari mirch............................................1 adad{is ka bhi bareek sa paste bana lein

adrak paste............................................half chaye ka chamch

garam masala..............................................Half Chaye k chamch se bhi kam

In Sab ashya ko Cil batay per {jis eham dauri danda bhi kehte hain} achay se pees lein k sab chizein yak jaan ho jayein yaad rahe anda agar ap dal rahi hain to woh start main nahi dalein gin Woh jab sahi s epis jaye to last main dale ga aur agar aap besan use ker rahe hain to phir ap besan bhi mila dein achay se jab sab pis jaye to kuch der k liye fridge main Rakhein

baa dmain ath per halka halka oil laga ker is k koftay bana lein gol gol aur again isay fridge main rakh dein

half hour baad ap nonstick fringpan lin is per thora sa oil dalien aur kofton ko shelow fry ker lein is s eiak brown part se kofton epr ban jaye gi halka halka brown ho to bus kofton ko plate main nikal lein

-----------------------------------------------------------

Kofton ki Grevi {masala k liye}

Pyaaz......................................................2 adad bari wali

{bareek kat lein }

Lehsan..............................................aik gathi

adrak powder....................................1 chaye ka chamch

tamatar.............................................1 adad

dahi.............................................1 khane ka chamch

hari mirch.........................................4 adad

{lambayi main kat lein}

namak................................................hasb e zarurat

surkh mirch..........................................half chaye ka chamch

haldi................................................2 chutki k brabar

garam masala.............................................1 chaye ka chamch

oil...................... pakanay k liye

-------------------------------------------------------

pakanay k bartan main oil dlaiye aur pyaz lehsan aur usay darmiyani aanch per fry hone rakh dein golden brown hone lage to tumam masal jaat siwaye garam masala k sab dal ker hamaa tamatar aur hari mirchein bhi achay se bhunein baad az pani 2 galss dal ker steam {kuker main paka rahein hon to} laga dein aur pateeli main bhi 2 glass he pani dal ker dhakan rakh dein k bhanp s epyaz lehsan gal jaye pateeli main 20 min aur kuke rmain 5 se 10 min main masala gal chuka ho ga depend ekrta hai aap k chulhe ki direction kaisi hai :) behter hai drmiyan main check kerti jayei kuch mins baad khair steam s ehata ker pani hai azafi to khushk kerien musalsal chamch chalati rhaien k masala pista bhi jaye to paste sa bhi banta jaye mukamal pani khsuhk ho to bhi bhunte jayein masala bhunne ki nishani hai k masla kinaray se oil chore ga bus ab is main koftay dla dijiye aur halki aanch per 5 bhin bhunein chamch zyada na chalayein

Bint E Aadam's Kitchen S411z4

ab 5 min baad is main dhai ka aik chamch dal dijiye aur achay se mix ker k pe rikhtyat s ekoftay na tutein aur pani ka chanta dein ker dum epr rakh dein 20 min k liye drmiyan main check kerte rahien k lag na jayein jahan maloom ho lag raha hai pani ka phir se chanta dein aur bus pak jaye to dish out kijiye garam garam tanduri roti k sath ya phulke jo bhi roti ho koftay yeh maza dein gay :)

sath main chutny aur Salad nahi bhulna aap ne :)

Bint E Aadam's Kitchen O0tdgp

Tip

Hamesha Ki Trah Wohi pakatay lamhay Sar epr Duppata Aur Choti Se Choti chiz bhi dalte waqt "BISMILLAH IRAHMAN ILAHEEM "

Aur agar shuur main bhool gaye to drmiyan main jab bhi yaad aaye to

"BISMILLAH IRAHMANIRAHEEM WA AWALU WAAKHIRATU"

bus aur jab pak jaye to rab s ekhane main barkat aur Lazat ki dua kijiye bad maind kehiye kaise sab tareef ekrte hain aur bus lagan se pakayein to sab kuch aik dum perfect :)

ijazat dein Tc

Fi aman Allah

23Bint E Aadam's Kitchen Empty Re: Bint E Aadam's Kitchen 18/10/09, 01:57 pm

Bint E Aadam

Bint E Aadam
New member
New member

Shalgham Gosht

Shalgham ...............................................Aik Kilo

{bareek lambayi main kuch kat lein sahulat k liye image de rahe hain }


Bint E Aadam's Kitchen I1wu1c

Bint E Aadam's Kitchen Dfzmrp

Bint E Aadam's Kitchen 4rrfyr

{pcz ka size same ho }

Gosht..................................................Half KG

Pyaz ............................................2 Adad

Lehsan...........................................Aik gathi

Adrak powder....................................................aik chaye ka chamch

Tamatar..............................................1 adad

{lambayi main kata ho}

Hari mirchein......................................................lambayi main kati hon 4 adad

Bint E Aadam's Kitchen 2ic4e8w

Sugar..................................................................Halg khane ka chamch

hara dhaniya.......................................bareek kata hasb e zarurat

garam masala.....................................half chaye ka chamch

namak...............................................half chaye ka chamch

surkh mirch.............................................powder half chaye ka chamch

haldi....................................2 chutki

Oil Pakanay k liye

-----------------------------------------------------------

Kuker ya pateeli main oil dlaiye aur sath main pyaz lehsan bhi dal ker darmiyani aanch per isay fry kerein jab kuch is trah piyazi se pyaz lehsan hon

Bint E Aadam's Kitchen Whnm9d

To aap ne tamatar aur hari mirchein bhi dal ker fry kerna hai

Bint E Aadam's Kitchen 1fg20h

Ab jab achay se fry ho ker brown hone lage


Bint E Aadam's Kitchen 15n7hxk

to ap ne tumam masala jaat dal ker achay se siwaye garam masala k bhun jaye to gosht {ab btanay ki zarurat to nahi phir b itna k aap ne pateeli main pakana hai to pehle half chaye ka chamch papeepta powder ya apste gosht per laga lena hai yeh amal jaldi gosht galanay k liye hota hai} dal ker 5 min bhun ker 2 glass pani dal ker steam laga dien aur agar pateeli main paka rahe hain to 3 glass khair 10 min baad steam se hata lein lekin 5 min baad aik daffa check zarur kijiye kahin jal he na jaye

khair steam se hatanay k baad achay s ebhunein pani extra ho to khushk ekr k achay se bhunein masalay ko pakanay k chamch s emasalte jayein k apste sa banta jaye jab masala bhun jaye is ki nishani yun k oil kinaray chore ga

khair bhun jaye to ab aap ne shalgham kate hue dal dene hain

Bint E Aadam's Kitchen A4v0xw

ab ap ne isay mix kerna hai

Bint E Aadam's Kitchen 30wa0qq

achay se mix kerna hai k masala theek se lag jaye

Bint E Aadam's Kitchen 2rctukm

khair ab ap ne 5 min k liye dhakan rkah dena hai aam sa dam laganay k liye 5 min baad dhakan hatayein to kuch aisii surat ho gi

Bint E Aadam's Kitchen W1pws4

is stage epr aap ne jhat se 2 glass pani dal ker mix kerna hai

Bint E Aadam's Kitchen W1afxj

aur phir 10 mins k liye steam laga deni hai

10 min baad steam hata ker dekhein to kuch yun ho ga

Bint E Aadam's Kitchen 29nzckm

aap ne ghabrana nahi kerna kya hai bus pakanay k chamch se maslana hai shalgham k pcz ko


Bint E Aadam's Kitchen Jl2gsh

taqreeban ghule hon to aap ne ab is main sugr {cheeni} dla deni hai


Bint E Aadam's Kitchen V63vi1

aur achay se shalghamon ko maslte jana hai yad rahe gosht ko na pees dijiyega :)



achay se shalgham pis jayein to shakal kuch yun ho gi

Bint E Aadam's Kitchen 293k30z

bus hara dhaniya daliye aur dishout ker k white rice k sath srv kijiye

Bint E Aadam's Kitchen Vcthde

24Bint E Aadam's Kitchen Empty Re: Bint E Aadam's Kitchen 18/10/09, 02:00 pm

Bint E Aadam

Bint E Aadam
New member
New member

Bint E Aadam's Kitchen X3etg8

Murgh Chanay

Chanay........................................Half Kg

{Haldi(half chaye ka chamch ) Daal Ker aur namak {half chaye ka chamch} daal ekr achay se boil ker lein }

Chicken........................................half Kg

Pyaz................................2 Adad

Lehsan Ki Gati.............................................aik Adad

Adrak Powder...........................................half chaye ka chamch

Tamatar...................................................1 adad

{bareek kat k oil main fry ekrein naram parein to pees lein pakanay k chamch s epaste si ban ajye to chulhe se hata lein}

Namak..........................................half chaye ka chamch

Surkh mirch.......................................half chaye ka chamch

Haldi.................................1 chutki

Garam masala........................................half chaye ka chamch

hara dhaniya...................................2 khane k chamch k brabar bareek sa kata hua

Oil pakanay k liye

----------------------------------------------------

pyaz lehsan pakanay k bartan main dlaiye dheemi aanhc epr rkah ekr oil dlaiye fry ekrien thoray say fry hon to sirf namak abhi dal ker stah main chicken aur tamatar paste jo bnayi thi dal dein achay s e5,7 min tak fry kerein us k baad is main tumam masala jaat siwaye adrak powder aur garam masala k sab daal ekr bunein 5 min baad one and half glass pani daal ker 5 min steam lagayein us k baad steam s ehata ker agar azafi pani ho to khusk kijiye aur masalay ko achays epakanay k chamch s epees ker paste sa bana lein jab amsala oil chorne lage to adrak powder daliye aurachy se mix ker ab chanay daal dijiye yad rhae chann k sath tagreeban {jis pani main boil kiya woh pani hona chaiye} taqreeban chanon k sath chanon ka he pani half glass hona chaiye woh dal ker achay se bhunein aur bus ab 10 min k liye dum epr rkah dien baad main dhaniya dal ekr garam maslaa dalein aur dishout ker k srv kijiye garam garam roghni nana,phulkay ya chapati k sath :)

yaad hai na Top kya hai :) ab to bhool nahi payein gay k Bismillah Irahman Iraheem parhna hai bhl gaye to jab yaad aaye Bismialh Irahman Iraheem Awalau waakhiratu :)

25Bint E Aadam's Kitchen Empty Re: Bint E Aadam's Kitchen 18/10/09, 02:18 pm

Bint E Aadam

Bint E Aadam
New member
New member

Gobhi Chicken

Bint E Aadam's Kitchen 4h787p

Gobhi .............................................Safa Kilo ka aik phool le lijiye

pyaaz...........................2 adad

Chicken ................................half Kg

Lehsan ........................................aik gathi

Bint E Aadam's Kitchen 2m64i06

{jo k aisi hai jitne bhi joye hon leni aik hai}

tamatar....................................................1 adad

Bint E Aadam's Kitchen 339ly8j

Bint E Aadam's Kitchen 1z69qgp

namak............................................half chaye ka chamch

surkh mirch ...............................half chaye ak chamch

haldi.....................................2 chutki

garam masala...................................half chaye ak chamch

hara dhaniya......................................2 khane k chamch k brabnar bareek kata hua

oil pakanay k liye







-------------------------------------------------------------

{gobhi Bnanay ka Tareeka}

Bint E Aadam's Kitchen 1087m2x

tray epr aap ne gobhi ko pic k style ki trah se ulta rakhna hai k cutting main asani ho

ab jab aap ketein gay to sab tukray utarne per aisi kuch shakal ho gi

Bint E Aadam's Kitchen 287dxet

ab aap ne yeh kerna hai k phool k aik aik pcz ko aise pakarna ker kehnchna hai


Bint E Aadam's Kitchen 15h08yh

to kuch is surat main tukra utare ga

Bint E Aadam's Kitchen 14j002r

aise sab pcz aap en utar lene hai

Bint E Aadam's Kitchen Rvf3as


pichay danthal {muth} bache ki aap ne churi s ekat lagatay jana hai jahan jahan hisa naram lage us k nichay s ekatte jayein jahan skaht lage wahan se nahi aur wapis uper jahan kat laga ker check kiya bus utnay hise ko kat lein jaise k yeh image main hai

Bint E Aadam's Kitchen 16bn037

ab aap ne is ko saaf ekrna hai to kuch yun shakal nikle gi

Bint E Aadam's Kitchen 1zmm1vr


ab aap ne is k chotay chotay pcz katne hain

Bint E Aadam's Kitchen De5gk5

Bint E Aadam's Kitchen 2hr1p1h

ab jo gobhi k pcz kate thay un k dundiyan bhi kat lijiye ga

Bint E Aadam's Kitchen E01th2

aur chotay tukray kat lein to kuch yun gobhi finaly kate gi

Bint E Aadam's Kitchen 9tpa1s

ab pani main siay bhigo dein achay se dho ke

{bus G sabzi kat gayi :)}


khair ab pakanay k bartan main oil dlaiye ar pyaz lehsan bhi aur fry kijiye


Bint E Aadam's Kitchen 14lq4u9

is haad tak ho to aap ne ab is main tamatar dal dene hain 5 min bhunne k baad tumam masala jaat siwaye garam masala k dal ekr chicken bhi dal dena hai aur achays ebhun ekr one n half glass pani dal ek r5 min k liye steam laga dijiye us k baad kuch yun shakal hoye gi


Bint E Aadam's Kitchen Ziwz8n


bus aap ne bhunna hai aur pakanay k chamch se masalay ka apste bnatay rehna hai to jab maslaa bhoon jaye aur oil masala chor dei

Bint E Aadam's Kitchen 15focj7

to aap ne gobhi without pani gobhi dal ekr mix kerna hai k maslaa gobhi epr lag jaye

Bint E Aadam's Kitchen 14dndsp

phir 10 min k liye dheemi aanch aur dhakan rakh dein k steam si {steam laganay nahi dum ki shakal main dhakan rakhna hai} 10 min baad gobhi ki shakal kuch yun hoye gi

Bint E Aadam's Kitchen Nc154o

bus ab aap en murghi ki botiyon ko alag plate main nikal len hai

Bint E Aadam's Kitchen 20k54bt

aur pani 2 glass taqreeban daal dena hai gobhi main

Bint E Aadam's Kitchen 33w1vrr

itna jitna hai pic main aur bus phir steam 5 se 7 min k liye

phir hata ker steam aap ne gobhi ko pakanay k chamch s episna hai qadray pis jaye to bus chicken dal ekr bhunna hai 5 min phir garam masala daal ekr hgara dhaniya daal ker mix keriye ga ab doshout ker k aap ne uper se garnishin k taur epr dhaniya dlaiye aur bus srv kijiye parathas k tanduri roti k sath


Bint E Aadam's Kitchen Fjfgo1

Sponsored content



Back to top  Message [Page 1 of 3]

Go to page : 1, 2, 3  Next

Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum