Har eak zakhm ka chera gulaab jaisa hai
magar ye jaagta manzar bhe khawaab jaisa hai
ye talkh talkh sa lehja,ye taiz taiz se baat
mizaaj-e-yaar ka aalam sharaab jaisa hai
bara taveel,nihayat hasen,bohat mubham
mera sawaal tumharay jawaab jaisa hai
tu zindagi k haqa'eq ki teh main u na utar
k es naddi ka bahao chanaab jaisa hai
teri nazar he nahi harf aashna warna
har eak chera yahan par kitaab jaisa hai
chamak uthay tu samanadar,bujhay tu rait ki lehar
meray khayaal ka dariya saraab jaisa hai
teray qareeb bhe reh kar na pa sakon tujh ko
teray khayaal ka jalwa hubaab jaisa hai