Welcome to the Forum..

You are currently viewing our boards as a Guest which gives you limited access to view most discussions and access our other features. By joining our free community you will have access to post topics, communicate privately with other members (PM), respond to polls, upload content and access many other special features. Registration is fast, simple and absolutely free so please, join our community today!

If you have any problems with the registration process or your account login, please contact us.

Join the forum, it's quick and easy

Welcome to the Forum..

You are currently viewing our boards as a Guest which gives you limited access to view most discussions and access our other features. By joining our free community you will have access to post topics, communicate privately with other members (PM), respond to polls, upload content and access many other special features. Registration is fast, simple and absolutely free so please, join our community today!

If you have any problems with the registration process or your account login, please contact us.
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

You are not connected. Please login or register

udassiyoon k mousam

2 posters

Go down  Message [Page 1 of 1]

1udassiyoon k mousam Empty udassiyoon k mousam 27/02/10, 04:51 am

mobijeena


*Moderator*
*Moderator*

udassiyoon k mousam Newyzp
sardiyoN k mausam maiN..
yaad ki zameenoN pe.. itni dhool uRti hai..
aankh k kinaroN pe.. saaray khush-numa manzar..
dhundla say jatay haiN..
kuch nazar nahiN aata..
aas k dareechoN say.. na muraadiyoN ki bail..
is tarah lipaT'ti hai..
jaisay subh ka bhoola.. raat doobnay tak bhi..
apne ghar nahiN aata..
sardiyoN k mausam maiN..
door ki musaafat par janay wala koi bhi..
lauT kar nahiN aata..
khoob gunguna bhi lo..
khul k muskura bhi lo..
chain.. par nahiN aata..
sardiyoN k mausam maiN..
bay sabab hi aankhoN maiN..
kuch nami si rehti hai..
zindagi mukammal ho.. phir bhi zaat maiN jaisay..
kuch kami si rehti hai..
sardiyoN k mausam maiN..!!
__________________
Aik pal ki zindagi mein jee li
umariya saari
Kon jane aney wali ghari mein
hum ho na houn
Tum se b kerli dosti ki tamanna
poori hum ne
Tere jaisa dost meri zindagi mei
phir ho na ho
Raste hain pur khatar
har taraf hai andhera
Is andheri mein jalti shamma ka
saher phir ho na ho
Mere tasawar mei shamil
khushian sabki hazir hain
In khushyi0n k sang jeene ka samey
sang mere phir ho na ho
Apne har rang ko dia mein ne
dunyia mein baant
Kon janne ane wali ghari in rangon mein
hum ho na houn
KIA MALOOM YE ZINDAGI HO NA HO

2udassiyoon k mousam Empty Re: udassiyoon k mousam 27/02/10, 04:52 am

mobijeena


*Moderator*
*Moderator*

udassiyoon k mousam Ifvkpe

Gul-e-zuban peh wohi sardiyun ka mausum hai
tumhari HAAN peh wohi sardiyun ka mausum hai

darakht par jo kabhi chooriyun se dala tha
us aik nishan peh wohi sardiyun ka mausum hai

yeh aik hum k nayi boliyan sada bolein
teri zaban peh wohi sardiyun ka mausum hai

sulag rahi hain zehan mein qubayein lafzon ki
mgr zuban peh wohi sardiyun ka mausum hai

tumhare aane peh suraj k hath chamkenge
mere makan peh wohi sardiyun ka mausum hai

har aik simt pighalne lage hain sannate
tere bayan peh wohi sardiyun ka mausum hai

jahan jahan teri khushbu k rang bikhre hen
wahan wahan peh wohi sardiyun ka mausum hai

teri judai k pal se hua hai ishq
hunot k is jahan peh wohi sardiyun ka mausum hai

woh HAAN karain ge baharon me uska wada tha
us aik HAAN peh wohi sardiyun ka mausum hai

woh mujh ko soonp gaya furqatein december me
darakhte-e-jaan peh wohi sardiyun ka mausum hai

humare lab tu duayein jalaye rakhte hain
per asman peh wohi sardiyun ka mausum hai…!!!
__________________

3udassiyoon k mousam Empty Re: udassiyoon k mousam 27/02/10, 04:56 am

mobijeena


*Moderator*
*Moderator*

khiza'n ki udaas subha mein
sardion ki shaamon mein...
Aas barhnay lagti hai
un-kahay say jazbon ki
piyaas barhanay lagti hai
baykali udaasi si
baychain kiyey rakhti hai
kissi kay sath ki, Dil ko
tamanna honay lagti hai
yoonhi qadam say qadam mila kar...
kissi kay sath chalnay ko
kissi ka hath thamay...
dheeray say,
Dil ki baat karnay ko,
apna yaqeen dilanay ko
kissi ka yaqeen karnay ko
kissi kay garam hathon ka...
haseen sa lamas panay ko
kissi ki mohabbat bhari ankhoon mein
khud ko khoj laynay ko
kissi ki narm muskurahat mein
khud ko bhool janay koo...
kissi ki mehekti khushboo mein
yoon masroor honay ko
kisi kay Dil mein khud ko
dhondnay ko... jhaank laynay ko
kisi ki ankhoon ki gehri jheel mein,
Dil kay samander mein...
yaqeen ki lahar pay
aahista say... dheeray, dheeray say
tamaam gahraaiyo'n ko...
jaan laynay ko
Mohabbat ki seep mein Apna...
Ghar banaanay ko
Wafa kay noor say roshan aik
sacha mooti paanay ko
kissi kay naam pay sadiyaa'n bitaanay ko
kissi ki aas ka bin-baas lainay koo
kissi kay saarey jazbay jaan laynay ko
kissi ko saray jazbay soonp daynay ko
kissi kay gird apna
hisaar baandh daynay ko
kissi kay saath ka paband honay ko...
khawaahish honay lagti hai
Tamanna barhnay lagti hai
Sardiyo'n ki shaamon mein
narm garm jazbon ki
talab barhnay lagti hai
aas barhnay lagti hai
un-kahay jazbon ki
piyaas barhanay lagtti hai
__________________
udassiyoon k mousam Rough07
Muhabbat
Hijar
Nafrat
Sab Mill Chukay Han Mujay
Main Ab Takreeban Mukammal Ho chuka hon

4udassiyoon k mousam Empty Re: udassiyoon k mousam 27/02/10, 04:57 am

mobijeena


*Moderator*
*Moderator*

Aik pal ki zindagi mein jee li
umariya saari
Kon jane aney wali ghari mein
hum ho na houn
Tum se b kerli dosti ki tamanna
poori hum ne
Tere jaisa dost meri zindagi mei
phir ho na ho
Raste hain pur khatar
har taraf hai andhera
Is andheri mein jalti shamma ka
saher phir ho na ho
Mere tasawar mei shamil
khushian sabki hazir hain
In khushyi0n k sang jeene ka samey
sang mere phir ho na ho
Apne har rang ko dia mein ne
dunyia mein baant
Kon janne ane wali ghari in rangon mein
hum ho na houn
KIA MALOOM YE ZINDAGI HO NA HO

5udassiyoon k mousam Empty Re: udassiyoon k mousam 27/02/10, 03:54 pm

ERUM ALI

ERUM ALI
*Administrator*
*Administrator*

Very Nice....

Sponsored content



Back to top  Message [Page 1 of 1]

Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum