Welcome to the Forum..

You are currently viewing our boards as a Guest which gives you limited access to view most discussions and access our other features. By joining our free community you will have access to post topics, communicate privately with other members (PM), respond to polls, upload content and access many other special features. Registration is fast, simple and absolutely free so please, join our community today!

If you have any problems with the registration process or your account login, please contact us.

Join the forum, it's quick and easy

Welcome to the Forum..

You are currently viewing our boards as a Guest which gives you limited access to view most discussions and access our other features. By joining our free community you will have access to post topics, communicate privately with other members (PM), respond to polls, upload content and access many other special features. Registration is fast, simple and absolutely free so please, join our community today!

If you have any problems with the registration process or your account login, please contact us.
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

You are not connected. Please login or register

Mukhtaisr Sa Afsana

5 posters

Go down  Message [Page 1 of 1]

1Mukhtaisr Sa Afsana Empty Mukhtaisr Sa Afsana 28/10/09, 12:41 am

ERUM ALI

ERUM ALI
*Administrator*
*Administrator*

Mukhtaisr Sa Afsana

Fizaa mai chooryon ki chann chann or hansi ki jhankaar thi ,jese koi
jaltarang baj raha ho..amma nay usay dekha ,jo na janay apni saheli ki kis
baat per zor zor se hansay ja rahi thi...wo asay hi hansa karti thi...buland
o baang qehqahay,hansna shuru karti to jese charon taraf abshaar ka gumaan
hota...jo apnay bahao mai behti chali jati thi

amma ki nazar mai ous key liye dunya bhar ka pyar tha...magar phir ye pyar
yak dum waswasay mai badal gaya,amma nay usay ek dum toka....."Shanno kitni
bari tujhey mana kia hay puttar,itni zor se na hansa ker...siyaanay kehtay
hain jo jitna zayada hansay usay utna hi rona parr jata hay...dil mar jata
hay dhiiyee,bus ab chup ker jaa"


"Offoo amma,tu her baar mujhe chup kara deti hay,hansna koi gunaah thori hay
jiski saza milay...tu pehli maa hay amma jo apni beti ko hansnay se rokti
hay...tu wehm na kara ker amma..meri pyari see ammaa"ous nay laad or masnooi
khafgi k taasur se kaha"...ab amma usay kia batati key wo ous kay hansnay se
nahi ronay se derti hay


amma abba ki kul kayenaat thi wo...thi bhi to itni khubsurat,jese qudrat
nay,soch soch ker uska roop nikala ho...rangg roop,naak naqsha,qadd
kaath,sab kisi deyo maalaai kahani ki paryon jesa tha...agar soorat khoob
thi to seerat bhi utni hi khub thi..her pal honto per hansi liye wo har
,mohallay or khandaan mai her dil azeez thi...amma ney jese uska naam sahi
shahana rakha tha ..jo ab pyar se shanno kehlanay lagi thi....her koi rashk
ki nazar se usko dekhta tha..or her parti nazar k sath amma ka dil derta
tha..k kaheen koi nazar..badd nazar na ban jaye...wo amma ka khazana
thi,jiski amma ko din raat fiker rehti thi.

raat ney taaron ki chadar asmaan per dhak de thi...wo amma k sath sehn mai
leti,taaron ko taktay kuch sochtay hue boli..."Amma...tu bata aaj dil kese
marta hay..or shohdha mar bhi jaye to banda thori marta hay? hai na amma?"
maa ney mohababt paash nazar se apni masom shehzaadi ko dekha.."Puttar,dil
ka zinda rehna hi to asal hayati hay,saari khed hi dil se hay..saah mukk
jayen to banda mitii

."Puttar,dil ka zinda rehna hi to asal hayati hay,saari khed hi dil se
hay..saah mukk jayen to banda mitii ki chadder k nechay ja ker aaraam se
sojata hay,per dil mar jaye to namana na jeenay joga,na marnay joga rehta
hay..zindagi ki laash ko kadhnay per laga ker phirna bara mushkil hay
dhiyee...saah to chaltay hain per zindgi nahi rehti".....
shanno nay ek dum pehlu badla"ohh ho amma tu itni gooryaan gallan na ker
..mere pallay nahi partin...janay tunay kahan se seekhi asi batien...bus tu
muje hansnay se na roka ker"ous nay amma k galay mai baahien daal dein or so
gaye
.

shanno theekray ki maang thi...bachpan se jo afzal ka naam ous k sath jurra
tha...or isi naam ko lay ker wo jawan hui thi...shanno ka her khwab her wafa
afzal k naam thay...uskay naam per shanno ki aankho mai qandeelien roshan
hojati theen or honto be baat muskuratay thay....afzal ous per jaan
chirakkta tha or ous se suchi mohabbat ka dum bharta tha..wo khubru tha or
dono ki jori jese chand sooraj ki jorri thi...shadi ki tareekh taye hui to
shanno ki khushyaan asmaan se batien karnay lagin..mohahbat her pal uskay
chehray se gulnaar ban ker phoot"ti thi..or her baat per hansi rokay na
rukti thi...zindagi agar kaheen khushyon k sath muzayyen thi to wo shanno k
charon taraf thi..amma key wasawasay apni jaga bdastoor thay.


ek subhu abba kaam per gaya..or amma shanno ki shaadi key dawat naamay denay
ghar se nikli...shanno sehan mei bethi apni shadi k joray per gotta kaarh
rahi thi...ye phool jese uskay armaan thay,khwab thay...
magar usay khabar nahi thi bad qismati kay kalay badal uskay ghar ki naqab
zanni kar chukay thay...janay kis ghari ek bherryaa sift insaan deewar
phalang ker ander daakhil hua or shanno k ki ismat,armaan or sab khwab
kuchal ker chala gaya..


amma ghar mai daakhil hui to wo ghar nahi medaan kaar zaar bana hua
tha,jahan koi sangdil apni fatah ka alam gaar ker shammo ko barbaad ker k ja
chuka tha.aaj ous ghar ka sehn mai shaam ,shaam e ghareebaan ki holnaaki lay
ker utri thi.


Shanno apay hosh o hawas kho chuki thi..aan ki aan mai insaan se patther ki
moraat mai tabdeel hogaye thi,.uski pathraaye ankhien barabaryat ka shikaar
ho ker apni chamak kho chuki theen...wo saktay k alam mai pohnch chuki
thi..is ghar se khushyaan apni muddat pori honay k baad ek dum utha li gayen
thin.


zamnay bhar ka rashk shanno ko lay dooba tha ,ab wo zinda llash ki tarah
behis o harkat khalao mai takti rehti thi..dar o deewar jo uski hansi ka
shor sunnay kay aadi thay,aaj qismat k is khel per gung sarapa ehtajaaj
khamoshi se usay takka kartay thay..Shanno ka dil mar gaya tha...hansnay ka
kaffara ada karna tha ab usay..amma sara din mou chupae roti rehti thi.. ous
ghar mai ab dukho k aaseb dandanaya kartay thay..shanno se mohahabt k pemaan
karnay wala ab usay kalank ka teka samjh ker chor chuka tha,wo log jo shanno
ko rashk se dekhtay ,ab oun nazaron mai tars hota,kuch nigahen hiqarat aalud
hotin,jese kisi rastay mai pari taafunn zada laash per badnaami k keeray
reng rahay hon,our wo ouski saraand se bachay ko door door bhagtay hon...


apni shehzaadi ka ye hal dekh ker amma jeetay jee mar gaye thi,ye dukh to
naasoor tha,jiski maseehai karnay se her koi inkaari tha....waqt beet nahi
reeng raha tha..shanno jo bazahir chup saadhay be jaan bethi nazar aati
thi,magar amma ki aankhein uskay ander utartay azeyat k azaab dekh sakti
thin..


Naye din ka soorj ajeeb andaaz se nikla tha..jese raat ka matam sunay k baad
sogawar tulu hua ho..amma baar baar shanno ko pyar bhari nazar se dekh rahi
thi...aaj ek ajeeb sakoot tha uski nazar mai,jo kisi toofaan ka pesh khema
ho..abba kaam per gaya to amma nay shanno ki taraf phir ek pyar bhari nzar
daali..or uskay liye doodh ka glaas lay ker aai.uskay maathay per bosa
dya,magar shanno in mehsusaat se jese aari thi...amma nay baray chao se dodh
ka glass uskay honto se laga dya,jese wo koi 7 ya 8 saal ki bachi ho...amma
ki ankho mai pyar bhi tha aansu bhi.


phir amma nay usay apni goad mai litaya or gadllai ankho or laraztay hatho
se uskay balo mai hath pherti rahi...or shanno khamoshi se amma ki goad mai
so gayeee..huemsha ki nend...amma nay usay glaas mai doodh nahi Aab e nijaat
pilaya tha
uski shehzaadi uski goad mai ser rakh ke be khabar so gaye thi

aaj phir se kaaly bada aaye thay..jo apnay sath shanno ko hi urra ker lay
gaye thay...Amma ki laadli beti palang per leti thi..jisay surkh joray mai
dekhnay ka armaan tha,aaj wo safed jorray mai,pakeeza hoor ki tarah ghar se
rukhsat ho rahi thi..her aankh ashkaar thi..magar amma k chehray per sukoon
tha...uski laado shaan se mitti k neechay sukoon ki nend sonay ja rahi
thi...usay murda dil k azab se rihaaye mil gaye thi...uska kaffara pora
hogya tha,,ab usay araam se sona tha.

2Mukhtaisr Sa Afsana Empty Re: Mukhtaisr Sa Afsana 31/10/09, 09:59 pm

afshan ali

afshan ali
*Star Member*
*Star Member*

VERY NICEEE SISTER

3Mukhtaisr Sa Afsana Empty Re: Mukhtaisr Sa Afsana 31/10/09, 10:12 pm

ERUM ALI

ERUM ALI
*Administrator*
*Administrator*

THANK YOU JIIIIIIIIIII

4Mukhtaisr Sa Afsana Empty Re: Mukhtaisr Sa Afsana 21/12/09, 06:21 pm

Humayun

Humayun
*Moderator*
*Moderator*

Mukhtaisr Sa Afsana 723942

5Mukhtaisr Sa Afsana Empty Re: Mukhtaisr Sa Afsana 23/12/09, 07:49 am

ERUM ALI

ERUM ALI
*Administrator*
*Administrator*

OKKKKKKKKK

6Mukhtaisr Sa Afsana Empty Re: Mukhtaisr Sa Afsana 26/12/09, 06:41 am

mobijeena


*Moderator*
*Moderator*

uff kassi dard bahri kahni

7Mukhtaisr Sa Afsana Empty Re: Mukhtaisr Sa Afsana 23/01/10, 09:14 pm

ERUM ALI

ERUM ALI
*Administrator*
*Administrator*

han ji
hai too lakin such hian jhoot nahi hia

8Mukhtaisr Sa Afsana Empty Re: Mukhtaisr Sa Afsana 04/02/10, 11:23 pm

Humayun

Humayun
*Moderator*
*Moderator*

Very Nice Apppa

9Mukhtaisr Sa Afsana Empty Re: Mukhtaisr Sa Afsana 06/02/10, 12:24 am

ERUM ALI

ERUM ALI
*Administrator*
*Administrator*

Thank You

10Mukhtaisr Sa Afsana Empty Re: Mukhtaisr Sa Afsana 18/06/11, 01:06 pm

prince ali

prince ali
New member
New member

Mukhtaisr Sa Afsana 962535

Sponsored content



Back to top  Message [Page 1 of 1]

Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum