Welcome to the Forum..

You are currently viewing our boards as a Guest which gives you limited access to view most discussions and access our other features. By joining our free community you will have access to post topics, communicate privately with other members (PM), respond to polls, upload content and access many other special features. Registration is fast, simple and absolutely free so please, join our community today!

If you have any problems with the registration process or your account login, please contact us.

Join the forum, it's quick and easy

Welcome to the Forum..

You are currently viewing our boards as a Guest which gives you limited access to view most discussions and access our other features. By joining our free community you will have access to post topics, communicate privately with other members (PM), respond to polls, upload content and access many other special features. Registration is fast, simple and absolutely free so please, join our community today!

If you have any problems with the registration process or your account login, please contact us.
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

You are not connected. Please login or register

Aqwaal'HAZRAT ALI (R.A)

4 posters

Go down  Message [Page 1 of 1]

1Aqwaal'HAZRAT ALI (R.A) Empty Aqwaal'HAZRAT ALI (R.A) 26/09/09, 06:23 pm

ERUM ALI

ERUM ALI
*Administrator*
*Administrator*

Aqwaal'HAZRAT ALI (R.A)

Insan ka apne Dushman s inteqam ka sb sy acha tariqa ye he k woh apni
khubiyon me izafa kre.
-----------

Wo gunah jis ka tumhein ranj ho,
ALLAH k nazdeeK us nayki se behtar hai
jis se tum main ghuroor paida ho jaye".
-----------

Ager kisi ka zaraf azmana ho to usko ziada izat do
Wo ala zaraf hoa to ap ko or izat day ga
or kam zaraf hoa to khud ko AALA ZARAF sumjhey ga
-----------

Aazmaye Hue Ko Azmana
Bewaqufi He.
-----------

sab se bara gunah wo he jo karne walay ki nazar me chota ho.
-----------

Ghareeb wo hai jis ka koi dost na ho.
-----------

Jub meri DUA qubol ho tu mein khush hota houn
k is main meri marzi hai aur
Jub kabol na ho tu mein aur khus hota houn
k ye ALLAH ki marzi hai
-----------

IKHTIYAR, TAAQAT aur DOULAT
aisi cheezain hain jin k milnay say log
badaltay nahin BAYNAQAB hotay hain.
----------

Agar tum kisi ko chota dekh rahe ho,
to tum use door se dekh rahe ho,
Ya phir gharoor se dekh rahe ho.
-----------

ALLAH k nazdek sab say ziada gunah gar chez jhoot bolnay wali zuban he.
------------

Mujhe Jannat se ziada
Masjid mein bethna Acha Lagta hai
kyunke Jannat mein mera NAFS khush ho ga
jab ke Masjid mein mera RAB khush ho ga.
-----------

Main Jannat K Shouq Main ebadat Nahe Kerta,
K Ye Ebadat Nahe Tijarat Hay
Main Dozakh K Khoof Say Ebadat Nahe Kerta,
K ye Ebadat Nahe.Ghulami Hai...
Main Ebadat Sirf Is Liye Kerta hon...
K Mera RuB ebadat K LayeQ Hai.......
-----------

Aik Shakhs Ne Hazrat ALI (r.a) Sey Poocha,
Q: Qarib Kya Hai?
A: Qyamat
Q: Or Qareeb Ter?
A: Maut
Q: Ajeeb Kya HAi?
A: Duniya
Q: Aur Ajeeb Tar?
A: Talib-e-Duniya
Q: Wajib Kya Hai?
A; Toba
Q: Or Wajib Tar?
A: Gunah K Forun Bad Toba
Q: Mushkil Kya Hai?
A: Qaber Mein Utrna
Q: Or Mushkil Tar?
A: Amaal K Bagair Utrna
-----------

Apni zuban ki tezi us per mat azmao jis ne tumhen bolna sekhaya.
-----------

Sub se Ziyada Kamzor AADMI wo he Jo DOST ko HAASIL karne me Naakaam
ho,Aur us se bhi Ziyada Kamzor Wo he Jo Haath aai howe DOST ko ganwa de.
-----------

2 cheezein saari zindagi kaam ayengi,
1 = Ghussay ki halat mein koi faisla mat karo!
2 = Khushi ki haalat mein koi wada mat kro!
----------

Insaan Bhi kitna Ajeeb Hy,
Jab kisi Cheez se Darta Hy to Us se Dour Bhagta Hy.
Jab ALLAH Sy Darta Hy to Us k Or Qreeb Ho Jata Hy.
-----------

Dunya Daron ki Sohbat ikhtyar Na karo Q K Agar tu Tang-dast huwa to ye
tujhe Chorh Denge Or agar to Dolat-mand huwa to Tujh se Hasad karen gay.
-----------

Acha Dost Kitni Dafa Hi Kiyon Na Ruth Jaye Usay Mana Lena Chahiye!
Kiyon K Tasbi K Daney Kitni Dafa Hi Kiyon Na Bikhrein Chun Liye Jate
Hain!
-----------
Yeh na socho k ALLAH dua foran qabool kyun nahi karta,
yeh shukar karo k ALLAH hamaray gunaahon ki saza foran nahi deta.
-----------
4 Batain Elim Ka NIchour Hain,
1.) ALLAH Ki Itni Ebadat Karo Jitni Tumhain ALLAH Ki Zaroret Hay.
2.) ALLAH Ki Nafermani Itni Karo Jitna ALLAH K Azaab Per Saber Ker Saktey
Ho..
3.) Dunya K Liye Itna Amal KAro Jitna K Tumhain Dunya Mian Rehna Hai,,
4.) Aakhrat K Liye Itna AMal Karo Jitna K Tmhain Wahan Rehna Hain....!!!
------------ --------

Buraee main kisi ka sath dena Ghatiyapan aur khuda ky sath badiyanti
hay.
------------

kisi ki madad kartay waqt us k chehray ki janib mat daikho, ho sakta
hay us ki sharminda ankhain tumharay dil main gharur ka beej bo dain.
------------

Ebadat esi kro jis se tumhari ROH ko maza aey Q k jo Ebadat dunya mai
maza na de wo Akhrat mai kia jAZAH deg...
-----------

Barish ka Qtra Seep or Saanp 2non k Munh mein Girta hai
Lekin SEEP usay MOTI Aur Saanp usay Zehr bna deta hai
jis ka jesa Zarf wesi uski Takhliq.
------------

Tum acha karo aur zamana tum ko bura samjhe
ye tumaray haq main behtar he
Bajaye es k tum bura karo aur
zamana tum ko acha samjhe
------------

Jahan Sadaaqat Or Khuloos Nazar Aaye Wahaan Dosti Ka Hath Barhao Warna
Tumhari TANHAEE Tumhari Behtreen Saathi Hai.
------------

Bay shak dunya or akhrat ki misal
asay ha jasay 1 shaks ki 2 b v ian
hon 1 ko razi karta ha to dosri roth
jati ha.
------------

naikon ki suhbat ikhtiar karo nek ban jao gai, buron ki suhbat se
parhaiz karo badi se dor ho jao gai.
------------

3 kaam kisi k dil main ap ki izat barhatay hain:
1- Salam karna.
2- Kisi ko jagah dena.
3- ASAL NAM SE PUKARNA.
------------

Achi zindagi guzar ny k 2 tareeqy hain.
1-Jo pasand hay usay hasil kr lo
ya Phr
2- Jo hasil hay usay pasand kr lo.
------------

3 Insan 3 chezon se mehroom rahenge
1.Ghusay wala Durust faisly se
2.Jhoota Izzat se
3.Jald baaz Kamyabi se.
------------


Agr Tm Usy Na Pa Sako Jise Tm Chahte Ho,Tu Usy Zror Pa Lena Jo Tmhe
Chahta Hy
----------- ---

Logon Ki
Zaroraton Ka
Tum Se Wabasta
Hona Tum Per
ALLAH Ki
Enyat Hai.
Imam Hussain (r.a)
------------ --------- -

2Aqwaal'HAZRAT ALI (R.A) Empty Re: Aqwaal'HAZRAT ALI (R.A) 28/09/09, 09:40 am

KANWAL

KANWAL
New member
New member

SUBHANALLAH,

3Aqwaal'HAZRAT ALI (R.A) Empty Re: Aqwaal'HAZRAT ALI (R.A) 28/09/09, 09:48 am

Humayun

Humayun
*Moderator*
*Moderator*

SUBHANALLAH,

4Aqwaal'HAZRAT ALI (R.A) Empty Re: Aqwaal'HAZRAT ALI (R.A) 12/10/09, 08:32 am

Guest


Guest

Aqwaal'HAZRAT ALI (R.A) 400176

5Aqwaal'HAZRAT ALI (R.A) Empty Re: Aqwaal'HAZRAT ALI (R.A) 14/10/09, 03:08 pm

mobijeena


*Moderator*
*Moderator*

suban allah

6Aqwaal'HAZRAT ALI (R.A) Empty Re: Aqwaal'HAZRAT ALI (R.A) 17/10/09, 05:29 pm

ERUM ALI

ERUM ALI
*Administrator*
*Administrator*

THANK YOUUU ALLLLL

Sponsored content



Back to top  Message [Page 1 of 1]

Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum