gom som hoa,aawaaz ka dariya tha jo eak shaks
pathar bhe nahi ab wo,sitara tha jo ek sahks
shayed wo koe harf-e-wafa dhondh raha tha
chehroun ko baray ghour se parhta tha jo ek shaks
shera ki tarha dair se piyasa tha wo shayed
ya badal ki tarha toot k barsa tha jo ek shaks
ey taiz hawa koe khabar us k juno ki!
tanha safar-e-shouq pe nikla tha jo eak shaks?
ab aakhri satroun main kahen naam hai us ka
ahbaab ki fahrist main pehla tha jo ek shaks!
har zehan main kuch naqsh-e-wafa chor gaya hai
kehne ko bharay shehar main tanha tha jo ek shaks
munkir hai wohi ab meri pehchan ka mohsin
aksar mujhay khat khoun se likhta tha jo ek shaks