Tu meray paas na tha pher bhe sahar honay tak
tera har saans meray jism ko cho kar gozra
qatra qatra teray dedaar ki shabnam tapki
lamha lamha teri khushbo se mo'aatar gozra
ab ye he hai tujhay manzoor tu aay jan-e-qaraar
main teri raah na daikhoun ge siyah ratoun main
dhoondh lain ge meri tarasti hoe nazrain tujhko
naghma-o-shaair ki umdi hoe barsatoun main
ab tera piyaar sataaey ga tu meri hasti
teri masti bhari aawaaz main dhal jaaey ge
aur ye rooh jo teray liye be-chain se hai
geet ban k teray hontoun pe machal jaaey ge
teray nagmaat teray husn ki thandak lekar
meray taptay hoey mahoul main aa jaaen gain
chand ghantoun k liye ho k hamesha k liye
meri jagi hoe ratoun ko sola jaaen gain