U he be-kal be-kal lamhon main
jub bojhal bojhal qadmo se
sahil ki taraf main jati hon
tumhain saath main aksar pati hon
jub aati jati mojoun se
be-rabt se batain karti hon
tub yaad tumhain main karti hon
kabhi aadhi raat ko uth kar jub
be-wajha tehla karti hon
ya apnay kamray ki khirki se
chaand ko daikha karti hon
aur uski thandi roushni ko
ang ang main samoya karti hon
tub yaad tumhain main karti hon
jub zabt k khoni panjoun se
main apna aap bachati hon
kar kar k yaad wo gozray pal
main pehroun ashk bahati hon
pher aankhoun k tootay taroun se
aanchal ko bhigoya karti hon
tub yaad tumhain main karti hon
jub bojhal bojhal qadmo se
sahil ki taraf main jati hon
tumhain saath main aksar pati hon
jub aati jati mojoun se
be-rabt se batain karti hon
tub yaad tumhain main karti hon
kabhi aadhi raat ko uth kar jub
be-wajha tehla karti hon
ya apnay kamray ki khirki se
chaand ko daikha karti hon
aur uski thandi roushni ko
ang ang main samoya karti hon
tub yaad tumhain main karti hon
jub zabt k khoni panjoun se
main apna aap bachati hon
kar kar k yaad wo gozray pal
main pehroun ashk bahati hon
pher aankhoun k tootay taroun se
aanchal ko bhigoya karti hon
tub yaad tumhain main karti hon