Welcome to the Forum..

You are currently viewing our boards as a Guest which gives you limited access to view most discussions and access our other features. By joining our free community you will have access to post topics, communicate privately with other members (PM), respond to polls, upload content and access many other special features. Registration is fast, simple and absolutely free so please, join our community today!

If you have any problems with the registration process or your account login, please contact us.

Join the forum, it's quick and easy

Welcome to the Forum..

You are currently viewing our boards as a Guest which gives you limited access to view most discussions and access our other features. By joining our free community you will have access to post topics, communicate privately with other members (PM), respond to polls, upload content and access many other special features. Registration is fast, simple and absolutely free so please, join our community today!

If you have any problems with the registration process or your account login, please contact us.
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

You are not connected. Please login or register

Nazam's Collection..!!!, Nazamein...

+3
Rabail khan
afshan ali
ERUM ALI
7 posters

Go down  Message [Page 1 of 1]

ERUM ALI

ERUM ALI
*Administrator*
*Administrator*

Sawan Ruth...

Humne dil pay pahre baitha dye
aankhon main
Intezaar kay tere diye jalaa dye
Is dar say kahiin sawan ruth
Badnaam na ho jaye
Ruswaaii !!

Sar-e-aam naa ho jaaye
Main ne
Tere saare khat jalaa dye


ERUM ALI

ERUM ALI
*Administrator*
*Administrator*

Yeh Log...!!!

Khawaishon kii baazaar main pathar
bikne chale aaye hain log

Sheeshaye dil ko dekh kar
Pathar uthaa laye hain log

Aur main to hairaan hon
Aaj kitne shuq say

Mujh ko mittne aaye hain log ...!!!

ERUM ALI

ERUM ALI
*Administrator*
*Administrator*

Vaqt ki teez-v-tand hawa ki
Zad main aa kar

Bahut chalay raaston per
Laut kay aane walay

Tu kahan jaaye
Raston kay mausm hotay hain

Yeh bhi Apni apniruth main
Apni apni jagh badltay hain...~


ERUM ALI

ERUM ALI
*Administrator*
*Administrator*

Kahin aarzo-e-safar nahin, kahin manziloon ki khabar nahin
kahin rasta hi andher he, kahin paa nahin kahin par nahin

Aye hawa-e-ghum zara, muje sath rakh, mery sath chal
mairay sath mairay qadam nahin, mairay paas mairi nazar nahin

yeh jo umr bhar ki reyaztain. yeh nagar nagar ki musaftain
yeh to roug hain mah-o-saal ka, yeh to gardishen hain safar nahin

ERUM ALI

ERUM ALI
*Administrator*
*Administrator*

Meri rooh mein jo utar sakein

Wo mohabaton mujhe chahieyen

Jo sarab hun na azab hun

Wo rafaqatein mujhe chahieyen

Unhi sa'aton ki talash hai

Jo calendaron se utar gayin

Jo waqt k sath guzer gayin

Wahi fursatein mujhe chahieyen

Jo meri shabon k charagh the

Jo meri umeedon k bagh the

Wahi log hain meri aarzu

Wahi sooratein mujhe chahieyen...!!!

ERUM ALI

ERUM ALI
*Administrator*
*Administrator*

Yeh wafa bhi kya khata hai mujhe sochna parhe ga

Usse mujh se kyun gila mujhe sochna parhe ga

Dil e muztarib hua hai teri yaad se gurezaan

Yeh maqaam kaun sa hai mujhe sochna parhe ga

Woh mile to beqaraari hai na mile to beqaraari hai

Mere Dil ko kya hua hai mujhe sochna parhe ga

Dar -e- Dil pe di hai dastak sahb -e- intezaar kis ne

Koi aashna sada hai mujhe sochna parhe ga


ERUM ALI

ERUM ALI
*Administrator*
*Administrator*

yeh chiraagh be-nazar hai yeh sitara be-zubaan hai
abhi tujh say milta julta koii doosra kahaan hai

wohi shakhs jis peh apnay dil-o-jaan nisaar kar doon
woh agar khafaa nahin hai tou zaruur bad-gumaan hai

kabhi paa kay tujh ko khonaa kabhi kho key tujh ko paana
yeh janam janam kaa rishtaa teray meray darmyaan hai

meray saath chalnay walay tujhay kiya mila safar main
wohi dukh bharii zameen hai wohi gham kaa aasmaan hai

main issi gumaan main barSon barrra mutma-in raha hoon
tera jism be-taghyyur, mera pyaar jaavidaan hai

unhiin raaston nay jin per kabhi tum they saath meray
mujhay rok rok poocha tera hum-safar kahaan hai

ERUM ALI

ERUM ALI
*Administrator*
*Administrator*

"Rat Pashmeene" K shaair "GULZAR"
Jin Ko Ahmad Nadeem Qasmi Ne
21ven Sadi Ka Shaair Kaha He
Unhon Ne Shairy Main Tarweni Ki Mutaraf Karwaya

3 Misron Ki Ye Nazamen Jin Ka Talism Aap Ko Jakar Leta He




1:-

Kabhi Kabhar Bazar Main Yun B To Ho Jata He
Qeemat Theek Thi Jaib Main Itne Daam Nahi The
Aise Hee Ek Bar Main Tum Ko Har Aaya Tha

2:-

Teri Soorat Jo Bhari Rehti He Aankhon Main Sada
Ajnabi Log B Pehchan,ne Se Lagte Hen Mujhe
Tere Rishte Main To Duniya Hee Paroli Main Ne

ERUM ALI

ERUM ALI
*Administrator*
*Administrator*

Sahelii.....

Vo saheli mujhe bahut aziz hai
Mere zaat kay bahut qareeb hai
Meri har achaaii buraaii say ba-khabar hai
Detii hai mujhe jeene ka hosla
Be-luss rafaaqten jis ki

Vo saheli mujhe bahut aziz hai

Naqb laagii jis ne meri zaat main
Hullchall machai mere khayalaat main
Khush fehmiyon ka shikaar thii main
Apni tasuraati duniya main qaid thii main
Ashna kiya ussne haqaqe say mujhe

Vo saheli mujhe bahut aziz hai

Vo meri rafiq saadq hai' vo humdard-v-ghamgusaar hai
Na koi khot na koi laalch hai
Be-shak zindagii ki shahraah per
Vo thore arse ki humsafar hai
Lekin ghamon ki karii dhuup main
Uss ki zaat hai thandii chaon atiya-khuda-vandii hai jo

ERUM ALI

ERUM ALI
*Administrator*
*Administrator*

Mohabat Kon Karta Hai

Bohat Samjhata Hun Dil Ko
Shabon Ko Jaag k Aksar

"Aray Nadaan"

Mohbat Kon Karta Hai
Mohabat Kis Ko Hoti Hai
Sabhe Apni Zarurat Ko
"Mohabat"Naam DetaAy hain.

BahoT samjhata hu dil ko--
K Ab Mehr o Wafa Ki Baat Karna kitna mushkil Hai.

Mohbt Mer Gaye Kab Ki

Mohabat Kon Karta Hai

ERUM ALI

ERUM ALI
*Administrator*
*Administrator*

Dukh anmol hotey hain
qudrat ki wadeeat hain
kabhi kuch dey k jaatey hain
kabhi sub cheen laitey hain
kabhi beychain kartey hain
kabhi jeena sikhaatey hain
kabhi bantey hain jub aansoo
umar bhar lahoo rulaatey hain
kabhi lub ki hunsi bun kar
nayi dunya sajaatey hain
kabhi meethi kasak ban kar
anjaani khalish bun kar
makeen-e-dil yeh bantey hain
kisi soorat nahin mit'tey
jo in say door bhaago tou
kaheen jaaney nahin detay
naa zinda rehnay detay hain
naa yeh aazaad kartey hain
nahin jiski dawa koi
yeh aisa dard hotey hain
magar yeh bhi ik haqeeqat hay
hur aik ko to nahin miltey
barey nayaab hotey hain
Dukh anmol hotey hain!!


ERUM ALI

ERUM ALI
*Administrator*
*Administrator*

Karkiiyaan bhi roti hain

Karkiiyon kay sheshon per
Rengthay hue qatre Yun pasltay hain jaise
Mere aur badal kay Darmiyankoi hai.... Jo
Mere aur badal kay
Raaz ko samjhta hai Jab gataaen chaaen hain
Sirf vo nahin Royen
Aankhen bhi barsti hain
Karkiyaan bhi rooti hain......

ERUM ALI

ERUM ALI
*Administrator*
*Administrator*

Kuch din Pehlay

Hijr musalsal shuru ho gaya
Zindagii ne dard ki bahon main
Iss tarah jhoola diya hai kay
Muskurane ki Arzu nahin rahii
Voh shaks Roshni nahi rahii
Jiss main apne khuwaab dhoondtaa thaa..

ERUM ALI

ERUM ALI
*Administrator*
*Administrator*

Use Kehna ....
Mukamal Kuch Nahi Hota

Milna Bhi Na Mukamal Hai
Judai Bhi Adhoori Hai

Yahan Aik Mot Poori Hai

Use kehna...

Udasi Jab Ragon Main
Khoon Ki Manind Utarti Hai
Bohat Nuqsan Karti Hai

Usey Kehna...

Bisat-E-Ishq Main Jab Mat Hoti Hai
Dukhon K Sheher Main Jab Rat Hoti Hai

Mukamal Bas
Khuda Ki Zat Hoti Hai!!!

afshan ali

afshan ali
*Star Member*
*Star Member*

NICEEE BAHOOT HI ACJHA HY

ERUM ALI

ERUM ALI
*Administrator*
*Administrator*

hmm thnks

Rabail khan

Rabail khan
*V.I.P*
*V.I.P*

Very Nice Collection.

ERUM ALI

ERUM ALI
*Administrator*
*Administrator*

haan jii thank youuuuuu

Sirf Tum

Sirf Tum
New member
New member

nice

ERUM ALI

ERUM ALI
*Administrator*
*Administrator*

thank youuuu

mobijeena


*Moderator*
*Moderator*

srif tum where r uuuu???

ERUM ALI

ERUM ALI
*Administrator*
*Administrator*

Nazam's Collection..!!!, Nazamein... 159357

prince ali

prince ali
New member
New member

gr8

Creative-Art

Creative-Art
*Administrator*
*Administrator*

Bohat Hi Umda Jitni Tareef Ki Jaye Utna Hi Kaam ha

http://www.dreamzworld.forumotion.com

ERUM ALI

ERUM ALI
*Administrator*
*Administrator*

Thank u so much Abbas .........

Sponsored content



Back to top  Message [Page 1 of 1]

Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum