Welcome to the Forum..

You are currently viewing our boards as a Guest which gives you limited access to view most discussions and access our other features. By joining our free community you will have access to post topics, communicate privately with other members (PM), respond to polls, upload content and access many other special features. Registration is fast, simple and absolutely free so please, join our community today!

If you have any problems with the registration process or your account login, please contact us.

Join the forum, it's quick and easy

Welcome to the Forum..

You are currently viewing our boards as a Guest which gives you limited access to view most discussions and access our other features. By joining our free community you will have access to post topics, communicate privately with other members (PM), respond to polls, upload content and access many other special features. Registration is fast, simple and absolutely free so please, join our community today!

If you have any problems with the registration process or your account login, please contact us.
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

You are not connected. Please login or register

Sab Keh Liyeh Dua Is Saal Keh Rabi Ul Awal Pe!

5 posters

Go down  Message [Page 1 of 1]

Humayun

Humayun
*Moderator*
*Moderator*


Assalamalaikum

Sab Keh Liyeh Dua Is Saal Keh Rabi Ul Awal Pe! Rose5

Har khata tu dar guzar kar bekas-o-majboor ki
Ya elahi maghfirat kar bekas-o-majboor ki

Ya elahi kar de poori azpa’ay ghous-o-raza
Arzoo-e-deedh sarwar bekas-o-majboor ki

Zindagi aur maut ki hai ya elahi kash makash
Jaan chale teri raza par bekos-o-majboor ki

Ya khuda poori tamanna ho baqi-e-paak ki
azpa’ay husnain-o-haidar bekas-o-majboor ki

Vaasita noor-e-muhammad ka tujhe pyare khuda
gor-e-teera kar munawwar bekas-o-majboor ki

Aap ke meethe Madine ki gali ki Ya nabi
haaziri ho khair se har bekas-o-majboor ki

Nafs-o-shaitaan ghalib aa’ay lo khabar ab jald tar
Ya rasoolullah aa kar bekos-o-majboor ki

Aap khud tashreef la’ay apne bekas ki taraf
Ah! Jab nikle tarap kar bekas-o-majboor ki

Naama’ay Attar mein husn-e-amal koi nahin
laaj rakna roz-e-mehshar bekas-o-majboor ki
Ameen!

Sab Keh Liyeh Dua Is Saal Keh Rabi Ul Awal Pe! Rose5






















-------------------

Humayun

Humayun
*Moderator*
*Moderator*

Kab gunahon se kinara mein karoon ga Ya rab
Naik kab ay mere Allah banoo ga Ya rab

Kab gunahon ke maraz se mein shifa paa’oon ga
kab mein bimaar Madine ka banoo ga Ya rab

Ghar tere pyare ka jalwa na raha pesh-e-nazar
sakhtiyaa naz’a ki kyun kar mein sakhoo ga Ya rab

Qabr mein ghar na Muhammad ke nazare ho ge
Hashr tak kaise mein phir tanha rahoon ga Ya rab

Ghar kafan paar ke saampon ne jamaya kabza
Ha’ay barbadi! Kahan ja ke chapoon ga Ya rab

Ha’ay maamooli si gharmi bhi sahi jaati nahn
Gharmi-e-hashr mein phir kaise sahoo ga Ya rab

Qabr mahboob ke jalwon se basa de malik
Yeh karam karde tho mein shaad rahoon ga Ya rab

De de marne ki Madine mein sa’adat de de
Kis tarha sindh ke jangal mein maroo ga Ya rab

Kaash! Har saal Madine ki bahaare dekhoon
sabz gumbad ka bhi deedar karoon ga Ya Rab

Izn se tere sar-e-hashr kahain kaash huzoor
Saath Attar ko jannat mein rakoo ga Ya rab
Ameen!

Humayun

Humayun
*Moderator*
*Moderator*

Ya rab phir auj par ye hamara naseeb ho
Su’ay madina phir humme jaana naseeb ho

Makkah ho naseeb madina naseeb ho
Dasht-e-arab naseeb ho sahra naseeb ho

Hajj ka safar phir ay mere aaqa naseeb ho
Arfaat ka mina ka nazara naseeb ho

Allah deedh gumbad-e-khazra naseeb ho
Ya rab rasool-e-paak ka jalwa naseeb ho

Choomoon arab ki vaadiya ay kaash ja ke phir
Sahra mein inke ghoomna phirna naseeb ho

Kaabe ke jalwo se dil muztar ho shaad phir
Lutf-e-tawaaf-e-khana kaaba naseeb ho

Makke mein inki ja’ay wiladat pe ya khuda
Phir chasm-e-ashqbaar jamana naseeb ho

Kis tarha showk se wahan karte te hum tawaaf
Phir gird-e-kaaba jhoom kar phirna naseeb ho

Namnaak ankh gumbad-e-khazra ko choom le
Jhuk ja’ay phir adab se wo lamha naseeb ho

Kardu mein kaash jaliyo par apni jaa fida
Jis waqt unke roze ka jalwa naseeb ho

Chup chup ke dekhoon mimbar-e-aqdas ki phir bahaar
Shayad kabhi tho shah ka jalwa naseeb ho

Har saal hajj ka de khuda Attar ko sharaf
Bhala akhir isko taiba mein marna naseeb ho
Ameen!

Humayun

Humayun
*Moderator*
*Moderator*

Allah Koi Aisi Hawa Ab Tho Chala De
Jo Khaaq Bana kar mujhe taiba mein urra de

Gham aisa madine ka ata kar de elahi
Jo ke meri khushyo ke gulastaa ko jala de

Ya rab tere khauf se rota rahoon har dam
Dewanaa shahenshah-e-madina ka bana de

Jab naat sunnoo jhoom ut’too ishq-e-nabi mein
Aisa mujhe mastana muhammad ka bana de

Sadqe mein mere ghaus ke tu khwaab mein ya rab
Jalwa mujhe sultan-e-madina ka dikha de

Jab hashr ke medaan mein aqaa nazar a’ain
Showk qudmon mein tarpa ke mujhe kaash ghira de

Uff hashr ki gharmi bhi hai aur piyaas bala ki
Ay saaki-e-kausar mujhe ik jaam pila de

Chup chup ke jahan se ke inne dekh sakoon mein
Jannat mein mujhe aisi jaga mere khuda de

Ay pyare mubaligh kabhi hatna na tu peeche
Shaitaan ke har vaar ko na-kaam bana de

Attar hoon mein unka ghada ab tho tawajjo
Bas janib-e-shaan-e-jahan meri bala de
Ameen!

Humayun

Humayun
*Moderator*
*Moderator*

Allah mujhe hafiz-e-qur’an bana de
Qur’an ke ahkaam pe bhi mujhe ko chala de

ho ja’ay sabak yaad mujhe jald Elahi
ya rab tu mera hafiz-e-mazboot bana de

susti ho meri door ut’too jald saware
tho madrassay mein dil mera allah laga de

Ho madrassay ka mujhse na nuksaan kabhi bhi
Allah yahan ke mujhe adaab sikha de

chutti na karoon bhool ke bhi madrassay ki mein
okaat ka bhi mujhko tu paband bana de

ustaad hoon maujood ya bahir kahin masroof
aadat tho meri shor macha ne ki mita de

khaslat ho shararat ki meri door elahi
Sanjeeda bana de mujhe sanjeeda bana de

Ustaad ki karta rahoon har dam mein ata’at
maa baap ki izzat ki bhi taufeeq khuda de

filmo se dramo se de nafrat tu elahi
Bas showk humme naat-o-tilwat ka khuda de

Sunnat ke mutabik mein har kaam karoon kaash
Ya rab mujhe sunnat ka mubaligh bhi bana de

Mein jhoot na bholoon kabhi gaali na nikaaloon
Har ek maraz se tu gunahon ke shifa de

Mein faaltu baato se rahoon door hamesha
Chup rehne ke allah saleeka tu sikha de

Ustaad hoon maa baap hoon Attar bhi hoon saath
Yoon hajj ko chalein aur madina bhi dikha de
Ameen!













Humayun

Humayun
*Moderator*
*Moderator*

Phir gumbad-e-khazra ki faza’o mein bulalo
Sarkaar bula kar mujhe seene se laga lo

Seene se laga kar mujhe dewana bana lo
Duniya ki muhabbat ko mere dil se nikalo

Go khaar-o-gunahgaar hoon jaisa hoon tumhara
Sarkaar nibhalo mujhe sarkaar nibhalo

Ya shah-e-madina meri imdad ko aa’o
Lillah bala’o ke taltum se nikalo

Toofaan ki maujau mein jahaaz apna ghira hai
Sarkaar bachalo mujhe sarkaar bachalo

Sarkaar! Mere khoon ka piyasa hua dushman
Shehzaado ka sadqa mujhe dushman se bachalo

Ujar hu’ee jaati hai meri zeest ki basti
Ho ja’aygi abaad nazar lutf ki daalo

Viraan hua jaata hai khushyo ka gulistaan
Is ujray chaman par bhi nigah lutf ki daalo

Dam taurne wala hai gunaho ka mareez ab
Ay jaan-e-maseeha! Isse tum aa ke bachalo

Marne ka sharaf ab tho madine mein ata ho
Dard ki mujhe taukaro se shah bachalo

Madfan ho ata meete madine ki gali mein
Lillah parosi mujhe jannat mein bana lo

Furqat mein tarapte hain jo maskeen bechaaray
Asbaab ata kar ke unne dar pe bulalo

Mahboob-e-khuda sar pe ajal aa ke kari hai
Shaitaan se Attar ka imaan bachalo
Ameen
!

Humayun

Humayun
*Moderator*
*Moderator*

mujhe madine ki dho ijazat nabi-e-rehmat shafi-e-ummat
pilaa'o bulwa ke jaam-e-ulfat nabi-e-rehmat shafi-e-ummat

agar nahin meri aisi kismat sada huzoori ki paa'oo lazzat
rula'ay har dum tumhaari furqat nabi-e-rehmat shafi-e-ummat

ata ho mujhko gham-e-madina tapha jigar chaak chaak seena
bharay muhabbat ki khoob shaddat nabi-e-rehmat shafi-e-ummat

laga'o seene mein aag aisi karaar pa'ay na dil kabhi bhi
rula'ay din raat teri ulfat nabi-e-rehmat shafi-e-ummat

mein naam pe tere vaari ja'oo mein ishq mein tere sar katta'oo
dho aisa jazba dho aisi himmat nabi-e-rehmat shafi-e-ummat

hussain ibn-e-ali ka sadqa hamare ghaus-e-jali ka sadqa
ata madine mein ho shahadat nabi-e-rehmat shafi-e-ummat

har ik nabi har wali ka sadqa tujhe teri har gali sadqa
de taiba mein marne ki sa'adat nabi-e-rehmat shafi-e-ummat

mujhe tum aisi dho himmat aaqa dhoo sab ko naiki ki dawat aaqa
bana dho mujhko bhi naik khaslat nabi-e-ummat shafi-e-ummat

gunah ke dal dal se ab nikaalo mujhe sambhalo mujhe bachalo
kahin na ho ja'oo shah gaarat nabi-e-rehmat shafi-e-ummat

kare kiya Attar maal-o-daulat isse nahin chahie hukoomat
ye tera talib hai jaan-e-rehmat nabi-e-rehmat shafi-e-ummat
Ameen!












Sab Keh Liyeh Dua Is Saal Keh Rabi Ul Awal Pe! Rose5

Humayun

Humayun
*Moderator*
*Moderator*

Meeta madina door hai jaana zuroor hai
Jaana humme zuroor hai jaana zuroor hai

Hota hai sakht intihaan ulfat ki raah mein
Aata magar suroor hai jaana zuroor hai

Ishq-e-rasool dekhiye habshi bilal ka
Zakhmo se choor choor hai jaana zuroor hai

Pur khaar raah paa’oo mein chale bhi par gaye
Is mein bhi tho suroor hai jaana zuroor hai

Himmat jawaab de gi sarkaar al madad
Za’ir thakan se choor hai jaana zuroor hai

Hai dhoop bhi karri aur lagi pyaas bhi barri
Paani ka chasma door hai jaana zuroor hai

Dewano sharma’o na tum dewanagi mein ke
Ye nafs ka gharoor hai jaana zuroor hai

Tujhko ko daraati hain safar ki jo sobathay
Ye nafas ka futoor hai jaana zuroor hai

Ushaaq ko tho milti hai gham mein bhi raahat aur
Aata bara suroor hai jaana zuroor hai

Sarkaar ka madina yakeenan bila shuba
Qalb-o-nazar ka noor hai jaana zuroor hai

Dekhoon ga jaa ke gumbad-e-khazra ki mein bahaar
Roza vatan se door hai jaana zuroor hai

Chadar thani hai gumbad-e-khazra pe noor ki
Minar noor noor hai jaana zuroor hai

Pur noor har pahaar tho taiba ki khaaq ka
Har zarra rishq-e-toor hai jaana zuroor hai

Attar qaafila tho gaya tum bhi utt chalo
Manzil agar che door hai jaana zuroor hai
Ameen!

Humayun

Humayun
*Moderator*
*Moderator*

madine ki taraf phir kab ravana qaafila hoga
mujhe izn-e-madina kab mere aaqa ata hoga

yakeenan roz-e-mehshar sirf issi se khush hoga
yahan duniya mein jis ne mustafa ko khush kiya hoga

wohi sarbasar-e-mehshar bulandi pa'ay ga jo sar
yahan duniya mein unke aasatanay par jukha hoga

koi hafta na koi din koi ganta mera balkay
koi lamha bhi isya se nahin haali geya hoga

nahin jaati gunaho ki shaha aadat nahin jaati
karam maula pas murdan na jaane mera kiya hoga

faqat naiko pe hoga ghar karam ay sarwar-e-aalam
kahan ja'ay ga wo banda jo badkaar-o-bhura hoga

tere reham-o-karam par aas mein ne baandh rakhi hai
bari umeed hai aaqa karam roz-e-jaza hoga

nabi ke aashiqo ko maut tho anmol tofa hai
ke inko qabar mein deedar-e-shah-e-ambiya hoga

andheri qabar hai tanha hoon mujh par khauf taari hai
tum aa'o ge tho aaqa door andera qabar ka hoga

farishtay qabar mein poonchain ge jab mujhse sawaal aa kar
mere lab par tarana Insha-Allah naat ka hoga

nabi ke aashiqo ki eid hogi eid mehshar mein
koi qudmon mein hoga koi seene se laga hoga

na gabra maut se Attar barzakh mein tum mil lena
wahan ghaus-ul-wara hon ge wahan ahmed raza hoga
Ameen!

Humayun

Humayun
*Moderator*
*Moderator*

Mujhko darpesh hai phir mubarak safar
Qafila ab Madine ka taiyaar hai
Naikiyon ka nahin koi tho shah faqat
meri jholi mein ashko ka ik haar hai

Koi sajdo ki sogaat hai na koi
Zohd-o-taqwa mere paas sarkaar hai
Chal para hoon Madine ki janib magar
Ha’ay sar par gunahon ka anbaar hai

Jurm-o-isyaan pe apne lajata huwa
Aur ashk-e-nadamat bahata huwa
Teri rehmat pe nazare jamata huwa
Dar pe haazir ye tera gunah gaar hai

Mujrimo ko shaha baksh wata hai tu
Saari ummat ki bigri banata hai tu
Gham ke maaro ko seene lagata hai tu
gham zado be kaso tug ham khaar hai

Tera saani kahan! Shah kaun-o-makaa
Mujh sa aasi bhi ummat mein hoga kahan
Tere af’o karam ka shah-e-do jahan
kiya koi mujh se bhar kar bhi hakdaar hai

Tokare dar ba dar kab talak khaa’oon mein
Phir Madine muqaddar se jab aa’oo mein
Kaash qudmon mein sarkaar mar jaa’oo mein
Ya nabi ye tamanna-e-Attar hai
Ameen!

Sab Keh Liyeh Dua Is Saal Keh Rabi Ul Awal Pe! Rose5

Humayun

Humayun
*Moderator*
*Moderator*

sarkaar phir madine mein Attar agaya
baaga huwa mujrim shah-e-abrar agaya

tum bakshwa dho khata sadqa hussain ka
umeed-e-maghfirat pe gunahgaar agaya

raazi hamesha ke liye ho ja'ee ye shaha
ye dhaimi raza ka talab gaar agaya

hoti hain raat din yahan rehmat ki baarishain
baksha gaya jo taiba mein badkaar agaya

daulat ki taaj-o-takht ki aaqa nahin talab
tumse faqat tumhara talab gaar agaya

gham uss ke door ho gaye hasta huwa gaya
jo koi dar pe bekas-o-lachaar agaya

aaqa gham-e-madine mein be haal kijiye
har dekhne wala kahe bemaar agaya

dil bekaraar dho shaha ankh ashkbaar dho
ye bheek lene dar pe mein sarkaar agaya

soz-e-jigar ata karo seena figaar dho
ye bheek lene dar pe mein sarkaar agaya

mujh gunahon ke marz se dijiye shifa
ye bheek lene dar pe mein sarkaar agaya

aasi pe kijiye karam ay shafi-e-ummam
Attar maghfirat ka talab gaar agaya
Ameen!

Sab Keh Liyeh Dua Is Saal Keh Rabi Ul Awal Pe! Rose5

baki_sab_cool_hai

baki_sab_cool_hai
New member
New member

bht nicee mearay bhai

ERUM ALI

ERUM ALI
*Administrator*
*Administrator*

Niceee

Empty Nest

Empty Nest
Sensiour member
Sensiour member

Sab Keh Liyeh Dua Is Saal Keh Rabi Ul Awal Pe! 884943

ERUM ALI

ERUM ALI
*Administrator*
*Administrator*

Sab Keh Liyeh Dua Is Saal Keh Rabi Ul Awal Pe! 400176

Hassan Ali

Hassan Ali
*V.I.P*
*V.I.P*

Niceee Sharing..................

Sponsored content



Back to top  Message [Page 1 of 1]

Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum