koi umeed bar nahi aati
koi soorat nazar nahi aati
mot ka ek din mu'ayin he
neend q raat bhar nahi aati
aagay aati thi haal e dil pe hansi
ab kisi baat par nahi aati
jaanta hun sawab e ta'at o zahad
par tabyat idhar nahi aati
he kuch esi hi baat jo chup hun
warna kia bat kar nahi aati
q na cheekhun ke yaad karate hen
meri awaz gar nahi aati
daagh e dil gar nazar nahi aata
boo bhi ay charagarn, nahi aati
ham wahan hen jahan se ham ko bhi
kuch hamari khabar nahi aati
martey hen aarzu me marne ki
mot aati he par nahi aati
kaabay kis mun se jaoge ghalib
sharam tum ko magar nahi aati
koi soorat nazar nahi aati
mot ka ek din mu'ayin he
neend q raat bhar nahi aati
aagay aati thi haal e dil pe hansi
ab kisi baat par nahi aati
jaanta hun sawab e ta'at o zahad
par tabyat idhar nahi aati
he kuch esi hi baat jo chup hun
warna kia bat kar nahi aati
q na cheekhun ke yaad karate hen
meri awaz gar nahi aati
daagh e dil gar nazar nahi aata
boo bhi ay charagarn, nahi aati
ham wahan hen jahan se ham ko bhi
kuch hamari khabar nahi aati
martey hen aarzu me marne ki
mot aati he par nahi aati
kaabay kis mun se jaoge ghalib
sharam tum ko magar nahi aati