Welcome to the Forum..

You are currently viewing our boards as a Guest which gives you limited access to view most discussions and access our other features. By joining our free community you will have access to post topics, communicate privately with other members (PM), respond to polls, upload content and access many other special features. Registration is fast, simple and absolutely free so please, join our community today!

If you have any problems with the registration process or your account login, please contact us.

Join the forum, it's quick and easy

Welcome to the Forum..

You are currently viewing our boards as a Guest which gives you limited access to view most discussions and access our other features. By joining our free community you will have access to post topics, communicate privately with other members (PM), respond to polls, upload content and access many other special features. Registration is fast, simple and absolutely free so please, join our community today!

If you have any problems with the registration process or your account login, please contact us.
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

You are not connected. Please login or register

Ghazal Of The Month Compition Topic ( Zindagi)

+9
Humayun
sun_shine2611
afshan ali
sharifuniv
sobia_khan
prince007_pk
hina
mobijeena
ERUM ALI
13 posters

Which Member's Ghazal Is The Best?

Ghazal Of The Month Compition Topic ( Zindagi) I_vote_lcap24%Ghazal Of The Month Compition Topic ( Zindagi) I_vote_rcap 24% [ 6 ]
Ghazal Of The Month Compition Topic ( Zindagi) I_vote_lcap16%Ghazal Of The Month Compition Topic ( Zindagi) I_vote_rcap 16% [ 4 ]
Ghazal Of The Month Compition Topic ( Zindagi) I_vote_lcap12%Ghazal Of The Month Compition Topic ( Zindagi) I_vote_rcap 12% [ 3 ]
Ghazal Of The Month Compition Topic ( Zindagi) I_vote_lcap12%Ghazal Of The Month Compition Topic ( Zindagi) I_vote_rcap 12% [ 3 ]
Ghazal Of The Month Compition Topic ( Zindagi) I_vote_lcap12%Ghazal Of The Month Compition Topic ( Zindagi) I_vote_rcap 12% [ 3 ]
Ghazal Of The Month Compition Topic ( Zindagi) I_vote_lcap12%Ghazal Of The Month Compition Topic ( Zindagi) I_vote_rcap 12% [ 3 ]
Ghazal Of The Month Compition Topic ( Zindagi) I_vote_lcap8%Ghazal Of The Month Compition Topic ( Zindagi) I_vote_rcap 8% [ 2 ]
Ghazal Of The Month Compition Topic ( Zindagi) I_vote_lcap4%Ghazal Of The Month Compition Topic ( Zindagi) I_vote_rcap 4% [ 1 ]
Ghazal Of The Month Compition Topic ( Zindagi) I_vote_lcap0%Ghazal Of The Month Compition Topic ( Zindagi) I_vote_rcap 0% [ 0 ]
Total Votes : 25

Poll closed

Go down  Message [Page 1 of 1]

ERUM ALI

ERUM ALI
*Administrator*
*Administrator*

Salam To All Members,

I Think Tht Yet We Did't Make Any Competition Soo We Are Going To Doo Our First Competition Of the (DREAMZWORLD)

Sooo Its Ghazal of The Month" Competition
Hope Tht Every One Iz Fine ,




RuleZ Are ,

1 - One Member Can Post Only 1 Ghazal....

2 - You Can Not Post Your Own Ghazal..

3 - When You Were Posting The Ghazal Remember Tht An Other Member Did Nt Post tht Ghazal Tht You Are Posting.

4 - Post Your Favorite Ghazal.

5 - When You Have Already Posted The Ghazal You Can Not Edit The Post Agn .

6 - Ghazal Roman Urdu Ya Urdu Mein Ki Ja Sakti Hai. Preferrable Roman
Urdu Ma Ho Kyun Ka Sab Members Urdu Nahi Parh Sakte Lekin Roman Urdu
Parh Sakte Hain........

7 - Ghazal Share Karne Ki Last Date 08th /March
2010 Hai. Us Ke Baad Share Ki Hui Ghazal Ignore Kar Di Jaye Gi.


8 - Plase Koi Comment na kare ka acha topic hai ye hai wo hai ETC,Jut Post your Ghazal Only.

And After The Member Wo joo hesaa legay is Competition May Will Make Poll And Will Get The Vote Forum The Member
And ..

Vote Rulez,


You Can Not Vote Your Self ............
You Can Give To Others .

Hope You Will Fallow the Rulez.....
Thank You


So The Topic Of The Ghazal is ""Zindagi"" (Life)


Soo ALLAH HAFIZ
REDGS
Ghazal Of The Month Compition Topic ( Zindagi) EGhazal Of The Month Compition Topic ( Zindagi) RGhazal Of The Month Compition Topic ( Zindagi) UGhazal Of The Month Compition Topic ( Zindagi) MGhazal Of The Month Compition Topic ( Zindagi) AGhazal Of The Month Compition Topic ( Zindagi) LGhazal Of The Month Compition Topic ( Zindagi) I






Last edited by ERUM ALI on 10/03/10, 05:23 pm; edited 10 times in total

2GMT + 6 Hours ..........ayee zindagi..... 20/02/10, 11:31 am

mobijeena


*Moderator*
*Moderator*

Tujhe kaya kahoon main aye zindagi
teray aik pal ki khabar nahin

Main yakeen karon bhi to kis tarah,
teri shab ki koi sehar nahin

Meri khawkhishon ka ye silsilla
hai kahan talak ye khabar nahin

Ye safar sadii pay muheet hai
meri umer aik pehar nahin

Jahan aagahi kay na jaal hon
wahan wehshataon kay zikar nahin

Yahan aagahi bhi azaab hai
tujhay aah ye bhi khabar nahin

Main sumar-e-ghum karon kis tarah
meray pass aisa hunar nahin

Mera aaj hai sitam aashna
mujhe kal say koi mafar nahin

Jahan do gharri ka sukoon millay
teri raah main woh shajar nahin

Main thakan say choor hon iss kadar
koi saya hadd-e-nazar nahin

Woh jo ashk-e-khoon say ho aashna
kahin aisa deeda-e-tar nahin

Meray dil say barrh kay jalla ho jo
yahan koi aisa jiggar nahin

Teri kaj adaai, sitam gari
koi ye bataaye kidher nahin

Tu hai bewafaaye ki daastan
gilla tujh say koi magar nahin

Tujhay chorrna hai to chorr day
mujhay mout ka koi darr nahin

Woh andhair nagri hai gar koi
Ye bhi rahaton ka dagar nahin.....!!


Ghazal Of The Month Compition Topic ( Zindagi) Mothers-day-flowers

hina

hina
New member
New member

Mere muqable mein dil kisi pe haar k deikh,
Baghair mere Zara zindgi guzar k deikh.,
Tujhe nahi hai meri shidaton ka andaza,
kisi bhi simt se mujhko kabhi pukar k deikh.
Tu aa k mera sabhi kuch hi chheen k le ja,
Mohabaton ka meri qarz yoon utaar k deikh.
Boht hi pyar se dekhay ga aaina tujhko,
kisi k wastay khud ko kabhi sanwaar k deikh.,
Bisaat e dil pe ajab hai shikast e zaat ka lutf,
Jahan pe jeet atal ho woh chaal haar k Deikh.
.

prince007_pk

prince007_pk
*Super Moderator*
*Super Moderator*

Tum Bin

Tum bin guzarr tu jaey gi zindagi

Par main ji na paoon gi tum bin

Hazaaron sitaron ki bheer mein bhi dekho

Yeh chaand kitna tanha hai tum bin

Rahoon kahin bhi, kisi ke sath bhi

Par main hamesha udaas hoon tum bin

Agar chiraghon ki roshni mein hoon main

Par meri zindagi mein andhera hai tum bin

Bahaaron ka mausam tu hai gulshanon mein

Par phoolon mein khushboo nahi hai tum bin

Iss hansi ke kehkahon mein dekho

Mera dil ro raha hai tum bin..

Mera sab kuch tu tum ho

Main tu kuch bhi nahi hoon tum bin

******************** ******************** *******




Last edited by prince007_pk on 25/02/10, 02:05 pm; edited 1 time in total

sobia_khan

sobia_khan
New member
New member

Zindagi pe aeitbaar kiya hai kisne,
Mohabbat be-intehaa kiya hai kisne,
Phool aur bhavre toh sabhi ban jaate hai magar,
Shama aur parwane ki tarah jiya hai kisne.

Ghazal Of The Month Compition Topic ( Zindagi) Flowers_and_swirls
bekhudi ki zindagi hum jiya nahi karte.
jaam dusron se cheen kar hum piya nahi karte.
agar unko mohabbat hai to hum se akar izhar karen.
peecha hum bhi kissi ka kiya nahi karte

Guest


Guest

Kaha ta na .. ?

K you sote hue mat Choor k jana ... !


Mujay beshak jaga dena.

Bata dena ... !

Tumhe rasta badalna he.

Meri Had se nikalna he.

Tumhe kis baat ka Daar ta .. ?

May Tumhe jane nahi deta .. ?

Kahi pe Qaid kar leta .. ?


Are Pagal .. !

Muhabbat ki Tabiat may.

Zabardasti nahi hoti.


Jise Rasta badalna ho.
Use Rasta badalne se.

Jise Had se nikalna ho.
Use Had se nikalne se.

Na koi Rook paya he.
Na koi Rook pae ga.

To tumhe kis baat ka Daar ta .. ?

Mujay beshak jaga Dete.

May Tum ko deek he leta.

Tumhe koi Dua deta.


Mere Saati Ye Haqiqat he.

Tumhare baad kone k lia.
Kuch be nahi baqi.

Magar May kone se darta hu.
May ab sone se darta hu.

Kaha ta na .. ?
K you sote hue mat Choor k jana .. !

sharifuniv

sharifuniv
New member
New member


IN FAASLON KI FIKAR ME Q KARUN BHALA

BOHAT DOOR REH KE BHI MERE PAS HE KOI

IS SOCH ME DOOBA HUA HE BOHAT DER SE MEERA DIL

KIA USKAY DIL ME BHI ESAS EHSA HE KOI

USKI NAZRON SE BANA HE MERI SAANSON KA TASALSUL

IS TARHA MERI ZINADGI KI AAS HE KOI


USKA JO POOCHA HE TO BAS ITNA JAAN LO

BOHAT KHAS BOHAT KHAS BOHAT KHAS HE KOI


FARAZ JO JA RAHE HO TO YE BI USAY KEHNA

US KE BINA IS SHEHER ME UDAAS HE KOI

afshan ali

afshan ali
*Star Member*
*Star Member*

Daman mae ek naqsh kaf_epaa samait ker
laye bhi os galli se to hum kia samait ker

Wo jin ko sahilon pe bhi toufan ka khouf tha
wo kiakren ge wussat_e sahra samait ker

Ab k junoon mae hum ne yahi kahm hai kia
muthhi mae beench laye sahra samait ker

Manzil to dairoon k safar mae he gum ho gai
pairon se bandh dijiye rasta samait ker

Wo kia gia rounak_i_der_o_der gai
ek shakhs le gia meri samait ker

Jo
zindagi ki saari haddon per muheet hai
rakha hoa hai hum ne wo lamha samiat ker

Bazar_
zindagi mae sanmbhal ker mere dost
chaliye mager zera sa daman samait ker

sun_shine2611

sun_shine2611
New member
New member

Meri zindgi sirf meri maa hai..
Dedicated to my Mother...

Zindagi ki tapti dhoop mai ek thanda saya paya hai mai ne
Jab kholi aankh to apni maa ko muskorata howa paya hai mai ne

Jab bhi maa ka naam liya,
os ka beshomaar pyar paya hai mai ne

Jab koi dard mehsoos howa, jab koi mushkil aayi
Apne pehlo mai apni maa ko paya hai mai ne

Jaagti rahi who raat bhar mere liye
Jaane kitni raatein, osay jagaya hai mai ne

Zindagi ke har moadh(mor) par, jab howi gumrah mai
Iski hidaayat par, pakrli seedhi raah mai ne

Jis ki dua se har moseebat loat jaye,
aisa farishta paya hai mai ne

meri har fiker ko janne wali,
mere jazbaaton ko pehchanne wali,
aisi hasti payi hai mai ne

Meri zindagi sirf meri maa hai,
Isi ke liye to,
Is zindagi ki shama jala rakkhi hai mai ne..

Humayun

Humayun
*Moderator*
*Moderator*

Ghazal Of The Month Compition Topic ( Zindagi) 022pe

ERUM ALI

ERUM ALI
*Administrator*
*Administrator*



Aj Last Day hai Jiss Member Ko Ghazal Post Karni Hai Wo Aj Hi Kar lien Aj Kay Baad..........

This Topic Has Been closed Result Ka Wait Karien Dakhien Kiss Ko Award Milta hai
Thank You To All Members

12GMT + 6 Hours The Winner is ................. 31/05/10, 06:58 pm

Admin

Admin
*Administrator*
*Administrator*

Dear members the Ghazal Competition Winner is
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Miss Mobijena



Many many Congratz..........


Ghazal Of The Month Compition Topic ( Zindagi) CongratulationGhazal Of The Month Compition Topic ( Zindagi) Congratulation

https://dreamzworld.forumotion.com

chand

chand
New member
New member

ohh many many vcongratessss mobijeena



or award kia milta hai inko

shoniza_rehman


New member
New member

congratess mobijeena

ERUM ALI

ERUM ALI
*Administrator*
*Administrator*

.

Creative-Art

Creative-Art
*Administrator*
*Administrator*

Ap ko bohat bohat mubarak ho mobijeena

http://www.dreamzworld.forumotion.com

ERUM ALI

ERUM ALI
*Administrator*
*Administrator*

Billkul janab in ki ghazal hai hi achi

Sponsored content



Back to top  Message [Page 1 of 1]

Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum