"aik martaba woh kuch foreign tourists k saath thal desert ka visit karnay gaye chaltay chaltay kaafi door nikal aye unhain shadeed pyaas lag rahi thi kuch aagay 1 kuwaan nazar aya jo k sokha howa tha paas hi 1 ghara para tha jis main paani majood tha saath hi 1 board par 1 ibaarat sindhi,urdu aur english main likhi howi thi k yeh kuwaan sokha howa hai aur gharay main jo paani hai woh bohat ganda aur matyala hai haan agar aap ye paani kuwain main daal dain, kuwain main se thanda aur meetha paani nikal aye ga. unhon ne aisa hi kiya aur khoob sair ho kar paani piya.saath hi sign board par neechay chota sa yeh bhi likha howa tha k janay se pahlay ghara bharna mat bholna nahi to aaj k baad har shaks is kowain se piasaa hi lot jaye ga."
abba ji mujhe marte the tu ammi mujhe bacha letin thin...1 din main ne socha agar ammi meri pitai karaingi tu abba ji kiya karainge... aur yeh dekhne ke liye ke kiya hota he main ne ammi ka kehna nahi mana....unho ne kaha bazar se dahi la do..main na laya unhon ne salan kam diya main ne ziyada par israr kiya....
unhon ne kaha pedhi ke upar beth kar rotti khao...main ne zameen par dari bichai aur us par beth gaya...main ne kapde bhi mele kar liye..mera lehja bhi gustakhana tha..mujhe pori tawaqa thi ke ammi zaroor mrain gin...magar unhon ne kiya yeh ke mujhe seene se laga kar kaha 'kion (diawar)puttar main sadqe!tu beemar tu nahi hei
us waqt mere aanso the ke rukte hi nahi thei
Mirza Adeeb
'Matti Ka Diya '